Ad Code

Responsive Advertisement

Android Phone Ki Ram Badaye Step By Step

Android phone me ram low hone ke karan ham apne phone me koi high game ya application use nahi kar pate hai. Aur low ram ki vajah se hamara phone bohat slow chalta hai aur hang bhi karne lagta hai. Mere bohat se dosto ne mujse yahi question pucha ki android me ram ko bada skte hai. Toh maine iske bare me pata kiya aur khud try kiya. Fir maine socha ki ye aap logo se bhi share kiya jaye. Aur mere dosto ko unke question ka jawab bhi mil jayega. Toh dosto aaj ka hamara yahi topic hai apne android phone ki RAm kaise badaye.

Ye post khaskar purane android phones ke liye hai. Jinke pas ginger bread jelly bean android os ke phones hai. Inme processing aur RAM bohat kam hoti hai. Is vajah se na toh isme high games chalte the aur na hi application. Agar aap bhi apne purane android phone ko new karna cahte hai. Aur usme high games chalana chahte hai. Toh is post ko padhte rahiye.

Jitni aapke phone ki ram jyada hogi utna aapka phone fast kaam karega. Ham apne phone ki ram Memory Card ki help se increase kar skte hai. Agar aapke pas 4GB ka memory card hai aap use 2Gb ram me change kar skte hai aur 2GB me apni photos movies video save kar skte  hai.

RAM Badane Ke Liye Requirement



  • Rooted Android Phone

  • 4Gb Memory Card

  • ROEHSOFT RAM Expender Application


Note - Aap pahle memory card ko format kar le. Tabhi ise trick ko use kare

Android Phone Ki RAM Badaye Step By Step


ROEHSOFT ek aisa android app hai. Jiske jariye ham android ki ram asani se bada skte hai. Iske liye aap neeche diye gaye steps ko acche se follow kar skte hai.

Step 1 - Sabse Pahle ROEHSOFT EXPANDER app install kare. Aap simaply google me search karke download kar skte hai.

Step 3 - Ab App ko open kare. Apko sabse uper green color ki light dikhai degi. Usme aap green color ke dot ko jitni MB badani hai utna drag keejiye.

Android Phone Ki Ram Badaye Step By Step

Step 3 - tab aapko neeche ek aur line dikhai degi. Jise ham swipeness kahte hai. Us par jo dot dikhai dega usko pura right side me drag kare.

Android Phone Ki Ram Badaye Step By Step

Step 4 - Ab active par click kare. Aur thodi der wait kare.

Android Phone Ki Ram Badaye Step By Step

Jaise hi swipe file create ho jayegi.  Uske baad sabhi application ko close kare. Aur phone ko restart kare. Ab aapki RAM bad chuki hai. Ab aap apne phone ki speed ko behtr mahsoos karege. Aur sabhi high application kaam karne lagege.

Last Word For You

Dosto aaj ki post me maine apko bataya ki android ki RAM kaise badaye. Agar aapko post pasand aayi ho toh ise apne dosto se jarur share kare.
Reactions

Post a Comment

27 Comments

  1. vinay bhai aap kon sa template use karte he apni site me.. plss tell me

    ReplyDelete
  2. mere template ka name ribbon hai jo free hai...

    ReplyDelete
  3. Ise hum kahan se download kare, isko me android mobile me kaise downloag karu pls help me bro, aur aap mera blog check karke ye bata sakte he ki isme kya galtiya he, my site name is clickmeworld.blogspot.com he,

    ReplyDelete
  4. ise aap is link se download kar sakte hai...
    aap ki site achhi hai lekin abhi apko bahut kuch sikhna baki hai. apko apne site ko ache se set karna hoga...

    ReplyDelete
  5. Hello..mere mob me network problem h kya kru?gionee p4

    ReplyDelete
  6. sir android phone ko root karne me baad hamara phone kharab toh nahi hoga na answer sir

    ReplyDelete
  7. kya RAM badane ke liye 2 GB ka memory card chalega?

    ReplyDelete
  8. me wi fi hake kese kru kya koy app h

    ReplyDelete
  9. Agr memory card nikaal de Ram badaane ke baad to kya hoga....

    ReplyDelete
  10. ye app free mai available nhi he kya

    ReplyDelete
  11. Jaydeep Machhi18 July 2016 at 13:00

    App Free Me Hai

    ReplyDelete
  12. Sir phone ko root kese kare

    ReplyDelete
  13. Sir memoroy card nikal kar ho sakta hai kya

    ReplyDelete
  14. Jaydeep Machhi25 July 2016 at 08:37

    Aap Ko Ram Badhani Hai To Step By Step Follow Kare

    ReplyDelete
  15. Bhai mera phone karbonn a1+ duple hai iska ram 256 hai kya main ise 1gb kar sakta hu kyuki mere pas 8gb memory hai bhai please bata do

    ReplyDelete
  16. ROEHSOFT app kya hame play store ke alava kahi or nahi milegi

    ReplyDelete
  17. MOBILE KI RAM COMPANY WALE DETE HAI, WOH HUM BADHA NAHI SAKTE HAI, MEMORY RAM DONO ALLAG CHIJ HAI

    ReplyDelete
  18. ram badhane ke bad 47 mb ka game nahi chal raha

    ReplyDelete
  19. Priyanshu bhai ram alag hai,aap ka game nahi chal raha uska karan spece me problam hoga, aap apne mobile ka spece badhaye

    ReplyDelete
  20. Sir mere mobile me ram expandable app support nhi kr rha hr sir me kya kru mera mobile lenovo s650 he .

    ReplyDelete
  21. Sameer Aap Apne Mobile Ka Space Kam Kare Kyu Ki Ram Jyada Use Ho Rahi Hai Mobile Me

    ReplyDelete
  22. Ram bhadane me bavjud Wrestling revolution 3d game slow loading ho raha hai

    ReplyDelete
  23. virtual memory ke fayde

    ReplyDelete
  24. Bhai ye app chal nhi rha hai errordikha rha hai kya keru

    ReplyDelete
  25. Bhai ye app chal nhi rha hai errordikha rha hai kya keru

    ReplyDelete
  26. Kya hamari mobile me ram badh aakta h iball andi 3.5 h

    ReplyDelete
  27. sirrr…samsung galaxy s7562 purana mobile hai is mobile me ram bohot kam hai(645mb) isliye hang bohot hota hai koi bhi game thikse nahi chal raha. please help me

    ReplyDelete

Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...