Ye post khaskar purane android phones ke liye hai. Jinke pas ginger bread jelly bean android os ke phones hai. Inme processing aur RAM bohat kam hoti hai. Is vajah se na toh isme high games chalte the aur na hi application. Agar aap bhi apne purane android phone ko new karna cahte hai. Aur usme high games chalana chahte hai. Toh is post ko padhte rahiye.
Jitni aapke phone ki ram jyada hogi utna aapka phone fast kaam karega. Ham apne phone ki ram Memory Card ki help se increase kar skte hai. Agar aapke pas 4GB ka memory card hai aap use 2Gb ram me change kar skte hai aur 2GB me apni photos movies video save kar skte hai.
RAM Badane Ke Liye Requirement
- Rooted Android Phone
- 4Gb Memory Card
- ROEHSOFT RAM Expender Application
Note - Aap pahle memory card ko format kar le. Tabhi ise trick ko use kare
Android Phone Ki RAM Badaye Step By Step
ROEHSOFT ek aisa android app hai. Jiske jariye ham android ki ram asani se bada skte hai. Iske liye aap neeche diye gaye steps ko acche se follow kar skte hai.
Step 1 - Sabse Pahle ROEHSOFT EXPANDER app install kare. Aap simaply google me search karke download kar skte hai.
Step 3 - Ab App ko open kare. Apko sabse uper green color ki light dikhai degi. Usme aap green color ke dot ko jitni MB badani hai utna drag keejiye.
Step 3 - tab aapko neeche ek aur line dikhai degi. Jise ham swipeness kahte hai. Us par jo dot dikhai dega usko pura right side me drag kare.
Step 4 - Ab active par click kare. Aur thodi der wait kare.
Jaise hi swipe file create ho jayegi. Uske baad sabhi application ko close kare. Aur phone ko restart kare. Ab aapki RAM bad chuki hai. Ab aap apne phone ki speed ko behtr mahsoos karege. Aur sabhi high application kaam karne lagege.
Last Word For You
Dosto aaj ki post me maine apko bataya ki android ki RAM kaise badaye. Agar aapko post pasand aayi ho toh ise apne dosto se jarur share kare.
27 Comments
vinay bhai aap kon sa template use karte he apni site me.. plss tell me
ReplyDeletemere template ka name ribbon hai jo free hai...
ReplyDeleteIse hum kahan se download kare, isko me android mobile me kaise downloag karu pls help me bro, aur aap mera blog check karke ye bata sakte he ki isme kya galtiya he, my site name is clickmeworld.blogspot.com he,
ReplyDeleteise aap is link se download kar sakte hai...
ReplyDeleteaap ki site achhi hai lekin abhi apko bahut kuch sikhna baki hai. apko apne site ko ache se set karna hoga...
Hello..mere mob me network problem h kya kru?gionee p4
ReplyDeletesir android phone ko root karne me baad hamara phone kharab toh nahi hoga na answer sir
ReplyDeletekya RAM badane ke liye 2 GB ka memory card chalega?
ReplyDeleteme wi fi hake kese kru kya koy app h
ReplyDeleteAgr memory card nikaal de Ram badaane ke baad to kya hoga....
ReplyDeleteye app free mai available nhi he kya
ReplyDeleteApp Free Me Hai
ReplyDeleteSir phone ko root kese kare
ReplyDeleteSir memoroy card nikal kar ho sakta hai kya
ReplyDeleteAap Ko Ram Badhani Hai To Step By Step Follow Kare
ReplyDeleteBhai mera phone karbonn a1+ duple hai iska ram 256 hai kya main ise 1gb kar sakta hu kyuki mere pas 8gb memory hai bhai please bata do
ReplyDeleteROEHSOFT app kya hame play store ke alava kahi or nahi milegi
ReplyDeleteMOBILE KI RAM COMPANY WALE DETE HAI, WOH HUM BADHA NAHI SAKTE HAI, MEMORY RAM DONO ALLAG CHIJ HAI
ReplyDeleteram badhane ke bad 47 mb ka game nahi chal raha
ReplyDeletePriyanshu bhai ram alag hai,aap ka game nahi chal raha uska karan spece me problam hoga, aap apne mobile ka spece badhaye
ReplyDeleteSir mere mobile me ram expandable app support nhi kr rha hr sir me kya kru mera mobile lenovo s650 he .
ReplyDeleteSameer Aap Apne Mobile Ka Space Kam Kare Kyu Ki Ram Jyada Use Ho Rahi Hai Mobile Me
ReplyDeleteRam bhadane me bavjud Wrestling revolution 3d game slow loading ho raha hai
ReplyDeletevirtual memory ke fayde
ReplyDeleteBhai ye app chal nhi rha hai errordikha rha hai kya keru
ReplyDeleteBhai ye app chal nhi rha hai errordikha rha hai kya keru
ReplyDeleteKya hamari mobile me ram badh aakta h iball andi 3.5 h
ReplyDeletesirrr…samsung galaxy s7562 purana mobile hai is mobile me ram bohot kam hai(645mb) isliye hang bohot hota hai koi bhi game thikse nahi chal raha. please help me
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...