Dosto aaj me apko ek aisa tarika batane wala hu jis se aap apne lost ya gum ho chuke phone ka location track kar sakte hai. Aur yahi nahi aap us phone ke lock ya datas ko erase bhi kar sakte hai. Ab sabse jaruri bat iske liye apko koi bhi app ki jarurat nahi padegi. To chaliye jante hai ki apne lost phone ka pata hum kaise laga sakte hai.
Apne Android Phone Me Kya Karna hoga ?
Jitne bhi Android Phone hote hai unme “Android Divice Manager” naam ki ek service hoti hai. Aur ye service apke phone ka pura ka pura manage karta hai aur agar apka phone lost (gum) ho jaye to aap iski madad se phone ko kahin se bhi manage kar sakte hai. Aur sabse achhi bat ki iske liye apko koi bhi alag se app download nahi karna padta hai ye service apke phone ke security setting me pahle se mojud hoti hai. Ab aage jante hai ki isko kaise enable kiya jata hai.
Phone Me Android Divice Manager Ko Enable Kaise Kare ?
Step 1 : Apne Android Phone Ke Setting me jaye aur fir Privacy ya Security Option par jaye. Agar aap Android Kitkat 4.4 use karte hai to aap directly “Setting>>Security>>Divice Manager” me ja sakte hai.
Step 2 : Ab Divice Manager me apko “Android Divice Manager” ka option dikh rha hoga jise apko enable karna hai. Ab apke phone pe Android Divice Manager service enable ho chuki hai yani ki ab aapka phone track ho rha hai.
Apne Phone Ko Hum Track Kaise Kar Sakte Hai ?
Ab agar aapko apna Phone Track kar ke location pata karna ho to aap niche diye steps ko follow kare.
Step 1 : ab apko "Android Device Manager" ki site pe jana hai. Site open ho jane par apko us site pe login karna hai. Yahan par dhyan de ki “aapne apne phone me jis email se login kar rakha hoga apko usi email se yahan par login karna hai.”
Step 2 : Ab jab apka phone is site connect ho jayega to aap google map ke jariye phone ka location dekh payenge.
Aur Kya – Kya Kar Sakte Hai ?
Aap is service ki madad se apne phone pe Ring, Lock ya Erase kar sakte hai. Jaise ki –
Ring – Man lijiye agar apka phone silent mode me ho to par bhi aap chahe to is option ki madad se phone pe high valume par ring kar sakte hai. Lekin ye option phone switch hone par kam me nahi aayega.
Lock – Agar aap chahe to apne phone me Lock bhi laga sakte hai. Aap apna password, Massage aur Number dal sakte hai jis se ki phone lock dikhne par apka number aur massage show kare jis se apse sampark kiya ja sake.
Erase – Is Option pe click kar ke confirm karne par apke phone ke sare memory data delete ho jayegi.
To dosto aasha hai ki apko ye jankari achhi lagi hogi. Aagar apke man me koi sawal ho to comments ke madhyam se puch sakte hai. is post ko share karna na bhule. Thank You !
1 Comments
Agar hmare phone ka kisi ne email id / password change kar diya ho to
ReplyDeleteYa
Jani k usne phone reset ya root kar diya ho to
Ye kaam karega
Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...