Dosto aaj ki post me mai apko bataunga ki apne android phone me save wifi passwork kaise dekhte hai. aapke phone me kai sare wifi password save honge aur apko sabhi passwords yaad nahi hai. toh is trick ko use karke ham apne phone me sabhi saved wifi password dekh skte hai. Jo log aisi trick ko search kar rahe hai toh unke liye ye post kafi helpful ho skti hai. Kai bar aisa hota hai ki ham apne dost ya kisi relative se wifi password puchte hai. toh wo hamko password na batakar seedhe hamare phone me password enter kar deta hai. aagar aap apne dost ya relative ka password ko janna chahte hai. toh is trick ko use kar skte hai.
Lekin is trick ko use karne ke liye apko apne phone ko root karna padega. kyuki bina phone ko root kiye aap aisi trick nahi use kar skte hai. rooted phone me bohat si aisi tricks hoti hai jo aap abhi tak nahi jante hai. rooted phone ki jitni bhi tricks hai future me mai apko ek ek karke btane wala hu. toh abhi seekhte hai ye trick.
Maine apni previous post me bataye tha ki agar aa free facebook whatsapp aur 9 other apps free me use karna chate hai toh apko ye post jarur padhni chahiye ye post apke liye kafi helpful sabit ho skti hai. kyuki log facebook whatsapp ka use hi sabse jyada karte hai. free whatsapp aur facbook ke sath sath aap is post ke jariye paise bhi kama skte hai.
Is Trick Ko Use Karne Ke liye Hame Kya Chahiye
ise liye apko 2 cheejo ki jarurat padegi.
- Rooted Android Phone
- ES File Manager
Android Me Saved Wi-Fi Password Kaise Dekhe
wifi password dekhna bohat hi easy hai. mai apko kuch steps bta raha hu. aap steps ko acche se follow karke wifi password asani se dekh skte hai.
Step 1 - Sabse Pahle Aap ES File Manager Download Kare. Aur apne phone me install kare.
Step 2 - Apko ES File Manager Me sabse uper device ka option dikhega. is par aap click kare. Aur data name ke folder par click kare aur folder ko open kare.
Step 3 - Data Folder ke andar apko kafi folder dikhai dege. ab apko mics foldr search karna hai. mics folder ko open kare ab iske andar wifi naam ke folder ko open kare.
Step 4 - Wifi wale folder me apko nf. ye file dikhai degi is file ko aap es file manager me open kare.
Step 5 - Ab apke samne kafi sare codes ayege usme apko ssid ke samne wifi name aur psk ke samne apko wifi pasword dekhne ko mil jayege.
is tarike se aap apne phone me saved wifi password dekh skte hai. ise karna bohat hi easy hai. toh dosto agar apko ye post pasand ayi ho toh ise apne dosto ke sath social media me jarur share kare
12 Comments
Iss website ke owner aur author Vinjay singh the na aap kaise ban gaye aur aapki to khud ek website hai.
ReplyDeleteAb mai bhi is blog ka hissa hu.
ReplyDeleteAap aise hi hmare blogs par bane rahiye
mjay aik info chaiye kya google adsense k approved k liye mein roman hindi mein article b likh saktay hain kya reply me fast i wait
ReplyDeletemjay aik info chaiye kya google adsense k approved k liye roman hindi mein article b likh saktay hain kya yani jo language is waqt ap post mein use kr rahay ho wo hum adsense approve kranay k liye b likh saktay hain kya reply me fast i wait
ReplyDeleteHaan likh toh skte ho. Lekin ab AdSense kuch rules change kar raha. Toh shayad future me na support kare
ReplyDeletetu phr ab english mein article likhoo approve honay k bad hindi mein likhoo
ReplyDeleteMobile to mobile me internet kaise canect kare mera phone Samsung galaxy Grande neo plus hai
ReplyDeleteapka wapsite accha hai
ReplyDeletevikash gupta thanks
ReplyDeleteBhai rooted k ky fayade h
ReplyDeletePlz batye help
my website thi se work nehi kar rahe hai
ReplyDeletewww.helphindi.in
but hi aachi informtion de aapne thank you dear
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...