Lekin aaj me apko aisa tarika bataunga jis se aap bina Bluestack App Player Software ke bhi PC me WhatsApp use kar payenge bahut hi easly tarike se. Maje ki baat ye hai ki ab koi bhi niche diye Steps ko Follow kar ke PC me WhatsApp Use kar sakta hai.
PC Me WhatsApp Kaise Chalaye :
Step 1. Sabse pahle apne Browser me web.whatsapp.com ko kholiye. Fir apko ek Barcode dikhai dega.
» Also Read → Laptop (PC) Me Files Ko Hide Kaise Kare
Step 2. Apne Smart Phone me WhatsApp ko Open kariye aur Upar Right Side me click kar ke Option me WhatsApp Web par jaiye. Ab apko apke PC me dikh rahe Barcode ko WhatsApp Web Option me aa rhe Scaner se Scan karna hai.
Jaise hi Barcode Scan hoga, vaise hi apka PC apke Mobile WhatsApp se Connect ho jayega aur aap apne Mobile WhatsApp ka maza PC me bhi le sakange....Enjoy!
» Must Read → Gmail Me Send Ki Gai Mails Ko Kaise Roke
WhatsApp Web Ke Bare Me Ye Bhi Jane :
- Aap PC me WhatsApp ka maza tabhi le payenge jab apke phone me bi Data On ho. Kyonki Data apke Mobile Net Balance se hi katega.
- Jis hisab se apke phone me net ki speed hogi usi speed se aap PC me bhi WhatsApp use kar payenge.
- Chat Massages, Images and Videos apke Phone me hi Save honge.
- Apke Mobile WhatsApp ke sare Option aur Contacts PC me bhi Show karegi.
- Agar apke Phone me Net ki Speed kam hai to PC se Connect hone me thoda time lag sakta hai, so thoda wait kare ye automatic apke phone ko detect kar lega aur connect ho jayega.
- Bar-Bar Barcode Scan kar ke Connect karne ki jarurat nahi hoti hai bas apke phone me Data On ho to aap direct web.whtasapp.com par jakar WhatsApp use kar sakte hai.
Friends I hope ki meri ye janakri apke liye kafi helpful hogi aur apko jarur pasand aai hogi. Aap is Post ko Share karna na bhule....Thank You !
22 Comments
hello bro....ek bar meri site dekh kr btaye ki kesi h nd kya kmi h.....nd adsense k liy apply krna chahiye abhi ya ni...nd haa ek or bat....maine adsene k liy apply kia tha kafi dino phle disapprove ho gya qki TEXT kam h....ab m Text kaha s lau mera song lyrics ka blog h
ReplyDeleteApki site achhi hai lekin abhi apki site utni achhi nahi dikh rhi hai. Apko kuch changes karne ki jarurat hai jaise ki Apne Popular Post do-do bar add kar di hai sidebar me, kisi ek remove kare. aur Labels bhi bahut jyda use ki hai apne so aap Labels ko Dropdown menu me sow karaye jis se ki vo jyda jagah na le. Other wise apki site achhi hai.
ReplyDeleteAdsense me apply karne se pahle About Us, Contact Us aur Privacy Policy Page jarur add kare apne Menus me.
Nice article...thanks
ReplyDeleteVinay bro,
ReplyDeleteWebsite Men menu & submenu kaise add karte hain .
Jaise aapne apni site hindi me jane men kiya
Blogger templpate editor me jakar aap menu & submenu set kar sakte hai. ispe maine ek post bhi likha hai - Blogger Template Editor Me Menu Set Kaise Kare
ReplyDeleteGreat post bhai
ReplyDeleteohk bro thanxx ....nd maine pages bna rkhe hai h....nd wo label dropdwn set ni ho rha kr to rkha h maine...bt hota ni h......nd haa ek quest or....mere pass pc ni h m template kese edit kru....Mobile me koi best APP btao jise m template edtd kr sku...
ReplyDeleteBahut hi badhiya jankari hai sir...
ReplyDeleteThanks Nitesh ji
ReplyDeleteAisa koi app nahi hai jis se aap mobile se Template ko edit kar sake. Aap Chrome Browser se try kare sayad ho jaye.
ReplyDeleteHi Vinay, Please Meri Site hindi2web dekhkar batao kaisi hai. Thanx in Advance
ReplyDeleteHello Vinay, Please Meri Site Hindi2web.com dekhakar batayiye kaisi hai, Thanx in advance
ReplyDeleteSir Facebook hacking kaisa karta hai. mana aap ka likha hua padha tha magar wo page fir sa nahi mil raha hai. Help me sir please. maina aapsa bahut kuch sikha hai sir. iska lia thank you sir
ReplyDeletemere ko dusre ka whtsapp ko pc me chalana hai...maine kiya bhi tha..par jaise he mobile uske pass chala gya...ab web whtsapp nhi khul rha h
ReplyDeleteuske mob.no, ke chat ko pc me hamesha dekhne k liye ky krna hoga...
whatsapp web nhi khul raha h mere pc me
ReplyDeletenhi khul raha h toh me code scan kaise karo
ReplyDeletemai net dongle se pc me whatsapp chalana chahta hu sir ,,pls help kya karna hoga sab bta dijiye mere pas androide mobile nai hai
ReplyDeleteYogesh Kumar Aap Ke Pass Android Mobile Hona Jaruri Hai, Kyu Ki Mobile Se Hi Aap Pc Me Whatsapp Scan Kar Ke Whatsapp Ko Chala Sakte Hai, Pc Me Whatsapp Chalane Ke Liye Android Mobile Hona Jaruri Hai
ReplyDeleteThanx bro for help me........
ReplyDeleteAsa koi aap hai nhi aap ko koi galat fami hai
ReplyDeleteUmesh Bhai Aap Kya Kehna Chahte Hai Woh Me Samaj Nahi Pa Raha Hu, Sahi Tarike Se Aap Bataye To Me Aap Ko Sahio Answer De Sakta Hu
ReplyDeletesir ji mera back camera kharab hai to pc me kaise whats aap chalau
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...