Hello dosto mera name Ashutosh singh hai aur mai newefuture.blogspot.com ka founder hu aur ye ek guest post hai. Agar aap bhi Hindi Me Jane site pe Guest Post dalna chahte hai to humari Guest Post Guidlines padhe. haa to dosto is post me hum janenge ki Android phone me hum files ko kaise Hide kar sakte hai bina kisi App ke. chaliye jante hai kaise.

Ye Kya-Kya Hide Kar Sakta Hai?
Aap is se apne android me kisi bhi chij ko hide kar sakte hai jaise ,important videos,images,files,mp3 songs any things is se aapko bahut madad mil sakti hai
kitne logo ko ye pata nahi hota hai aur wo kisi folder lock karne wale apps ka istmal karte hai aur apne personal files ko safe rakhte hai
» Also Read → Android Phone Me Screenshot Kaise Le
Android Me Files Ko Kaise Chhupaye ?
Android mobile me data chupana koi muskil kam nahi hai ye ek chota bacha bhi kar sakta hai bahut aasan hai aap logo ne apne android mobile ke file manager me android ke naam se folder to dekha hi hoga usi ka hi sub kammal hai ye android ka apna folder hota hai aur kisi bhi android mobile ke file memory me hota hai
Step 1: Sabse pehle aap apne mobile ke file manager ko open kare aur apna video ya image ko select kare kr kr Copy kare jisko chupana hai apko.
Step 2: Uske bad aap Android wale folder ko open kare aur aur kahi bhi us video ya image ko paste karde aap jitna chahe utna folder banaker apne file ko waha paste karde
ab aapka file hide ho chukka hoga aap agar video ya image ko android wale folder me daldenge to aapka video ya image koi bhi application me show nahi karega aapko dekhne ke liye android folder ko open karna hoga.
Kya Files Ko Hide Karne Wale App Par Bharosa Kar Sakte Hai?

Mai aapna jawab nahi me dunga kyoki ye kabhi bhi aapke personal files ko blanks kar sakta hai aur mai aap logo ko ye bata du ki maine bhi pehle aisa kiya tha lekin ye jo hide karne wale jo softwere hote hai inka kabhi bhi bharosa mat kariyega ye kabhi bhi aapke files.photos,aur,videos,ko blanks kar sakta hai isliye aap logo se mai yehi kahunga ki aap log apne personal file ko kisi App ke madhyam se hide na kare isse aapke mobile me bhi slow hone aur hang hone ka problem aasakta hai isliye aaplog softwere ka istmall na kare. aur is Post ko Share jarur kare...Thank You!
27 Comments
Ye jo file chupane wali trik hai
ReplyDeleteMene wo trik try ki prr mere na video hide hue na images to me kaise karu
Nice post bhut achi jaankari he
ReplyDeletesir, aaj mai aapko badi ummeede lekar comment kar raha hu. reply jarur dena sir please. sir, maine aapki post padhkar 10 din pahle ek domain name khareeda tha. besthinditips.com naam ka godaddy se. iske bad aap hi ki post padhkar usko blogger me bilkul same 2 same but sir humari website 2 din tak na purine vale address se khuli na hi custom domain se. iske bad maine dns zone file me jakar jo address hum third party url se lekar add record me dalte hai vo delete kiya aur shayad uske sath kuch aur bhi delete ho gya hai pakka to nahi hai but kachcha bhi nahi hai. iske bad maine vahi process phir se ki but phir se bhi nahi khul rahi hai. pahle to custom domain se kholte the to godaddy ke ads aate the aur jab unpar click karte the godaddy ki website par pahuch jate the but ab to bilkul bhi nahi khul rahi hai. please sir aap humari madad kar dijiye bataiye ki kahi kuch delete hone se to aisa nahi ho raha hai aur agar ho raha hai to kaise puri setting jyo-ki-tyo ki jaye arthat restor ki jaye. please help me sir bahut pareshan ho chuka hu. sir please help me.
ReplyDeleteKafi acchi jankari di apne vinay jee is post k liye apka shukriya
ReplyDeleteI think Ye sirf Gallery se images aur Video hide kar sakta hai...
ReplyDeleteAapne jarurr koi mistake ki hai aur koi IP delete kar di hogi...
ReplyDeletejyda paresan na ho aur maine jo post me Screenshote diya hai vaisa hi same to same apne Domain Dns me fir se add kare and fir se Blogger ke vo do code Cname Alias me dale aur Save kare. fir dekhiye apki site kaise nahi khulti. aap try kariye ho jayega.
sir maine domain dns sabkuch vaisa ka vaisa kar diya but jo hume sat up third party url me jo ip milti thi error aane par vo nahi mil rahi seedha save ho jata hai. jab mai url me domain www.besthinditips.com dalta hu to wo seedha save ho raha hai jabki iski ip domain dns me ab save bhi nahi hai. ab mai dwara se pure step karna chahta hu to vo usi domain ki ip kaise milegi arthat error kaise aayegi. please sir bataiye.
ReplyDeleteAap try karte rahiye kafi kafi Codes sow nahi hote hai. Lekin thode samay baad codes hume dikh jate hai.
ReplyDeletehello sir maine aapki har ek tricks ko kar ke dekha or realy jaisa aap ne kaha vaisa hua bhi thanx bhai bahut good information di
ReplyDeletehello maine ek blog site banai hai but uska adderess jada bada ho gaya hai kya vo chota ho sakta hai
ReplyDeletehaa aap chhota bhi kar sakte hai. ya fir domain name add karne se ye chhota ho jayega.
ReplyDeletesir mere samsung mobile me file mainejar kholne par anadrid ko jab open karta hu to usme safed safed khali dibba najar ata hain vo kya virus banta hain kya
ReplyDeleteHo bhi sakta hai...aap ek bar apne sd card ko scan jarur karva le.
ReplyDeleteNice I formation but agar hum apne phone ko reset karte h to woh hide ki hui filen bhi delet hogi ya fir woh ab bhi safe rahegi plz help me ......shahadatsherani@gmail.com
ReplyDeletePhone storage me hogi aur erase karenge to vo file bhi delete ho jayegi.
ReplyDeleteSir mera memory card galti se format Ho gya h ab main uska data recover krna chahta Hu pr samajh nhi aa rha kaise kru.
ReplyDeleteSir I m sachin verma
ReplyDeleteMera memory card format Ho gya h or ab me uska data recover krna chahta Hu pr samajh nhi AA rha kaise kru
hi I am shakeel
ReplyDeletegood mornig
Hlw sar aap bahut achi jankari dete hai mobile phone ke bare me mujhe bhut acchi lagi sar
ReplyDeleteThanxxx in sb guidlines ke liye. U people are so much help full.
ReplyDeletemene android ka is KitKat delete ho gaya an memory card mai data to hai Jo space dika raha hai but pH setting mai move to SD card show nahi ho raha
ReplyDeleteRiya Ji Aap Sab Delete Karke Pehle Se Kitkat Update Karle
ReplyDeleteBhai jaan mere mob me vault and secret gellery app the unme mene parsanal foto dal rakhe the to memory me se mujpe dilit ho gye to wo imege kese wapis aayenge
ReplyDeletemobile phone me backup ka option aata hai setting me cheak karo back up ka option mil jayenga
ReplyDeleteBhai mujhe hide karne nhi aa raha h kya kare plzzz help me or ek ye smjh me nhi aa raha h ki agar hum koi video ya photo ko koi file bana kar jada se jada file bana kar rakhenge to really me nhi dikhega
ReplyDeleteSonu Raj Mishra 100% aap Ka Video Nahi Dikhenga,
ReplyDeleteandroid phone me app, file hidden karne ke baare me bahut achhi tarah se samajaya hai,
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...