Ad Code

Responsive Advertisement

Gmail Me Send Ki Gai Mails Ko Kaise Roke

Friends aksar aisa hota hai ki hum koi important mail bhej rahe hote hai to Mail send karne ke baad hame yaad aata hai ki us mail me koi galti ho gai hai aur baad me ham pachtate hai ki kash vo mail hamne nahi send kiya hota. Lekin agar aap Gmail use karte hai to aisa jarur sambhav hai ki apne bheje huve Mail ko hum rok sakte hai. To chaliye jante hai kaise.

GmailGmail Me Send Ki Hui Mails Kaise Roke :


Gmail hume hamare tay ki gai hui samay sima tak Send ki gai mails ko rokane ka option deta hai. Niche diye gaye Steps ko follow kar ke aap bhi apne Gmail me Send Mails ko kitne samay tak rokana hai ye set kar sakte hai.

#Step 1. Sabse pahle apna Gmail Open kariye. Fir apko upar right sight me Profile Image ke niche Gear Botton par click karne ke baad Settings jana hai. (Aap niche Screenshote dekh sakte hai.)

gmail setting

#Step 2. Ab jo Default Genral tab khulega usme apko bich me “Undo Send” ka Option dikhega. Us pe tick mark ka nisan laga kar Enable kare aur uske samne apko kitne samay tak Email rokana hai vo set karne ka option dikhega. Aap apne hisab se 10, 20 aur 30 second ki timing set kar sakte hai Send Mails rokne ki.

gmail undo send

Also Read → Multiple Facebook Accounts Kaise Chalaye Ek Android Phone Me

#Step 3. Ab aap Page ko Scroll Down kar ke niche Save Changes par click kar ke save kar de.

gmail undo send save

Friends ab aap apne Send ki gai Mails ko apne samaya anusar rok sakte hai. I hope ki meri ye information aap longo ko achhi lagi hogi. Aap is Post ko Share jarur kare…Thank You!
Reactions

Post a Comment

2 Comments

  1. sir mujhe apne blog par category banani hsi jaise aapke blog par
    Example- Hindi Shayari ; Joke
    please sir bataye kaise banegi
    aur sir aapki jo is blog par template wo kaha ye download hogi please sir help me

    ReplyDelete
  2. Aap apne Post ko label by label bant sakte hai jisse vo ek Category ban jayegi...
    Aap Post me jakar Labels banaiye har post topic ke hisab se...

    ReplyDelete

Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...