Domain Ko Apne Blog Address Me Kaise Add Kare :
#Step 1. Sabse pahle apne Blogger Dashboard me Settings>>Basic par jaiye. Aur Set Up Third-Party for Your Blog par Click kare.
#Step 2. Ab jo apko suru wale Box me apna Domain Name Address dalna hai www. ke sath. Example - www.hindiproud.com. Uske bad apko niche do CNAME Code najar ayenge jise apko apne Domain DNS settings me dalna hai.
#Step 3. CNAME Code add karne ke liye ise aisa hi khula rahne de aur New tab me Godaddy open kar ke Login kariye. Login karne ke bad apko Domains>>Manage par Click karna hai.
Must Read → Google Analytics Ka Parayog Kare Blog Traffic Dekhne Ke Liye
#Step 4. Ab apke sare kahride huve Domain Name ki list khul jayegi. Aap jis Domain Name ko Add karna chahte hai us par Click kare.
#Step 5. Ab Domain Settings Open ho jayegi, Jisme apko DNS Zone File me jana hai. fir apko upar Add Record ka Option dikh rha hoga us par Click kare.
#Step 6. Ab ek PopUp Window khulegi Jisme apko Record Type me CNAME (Alias) Select karna hai. Aur apko jo do CNAME Code add karne the usme se pahle wale CNAME Code ko dalna hai. Host wale Box me www dale aur Point To wale box me ghs.google.com dale jaisa ki apka pahla CNAME Code hai. aur baki sare Option vaisa hi rahne de. Fir ADD ANOTHER par Click kare.
#Step 7. ADD ANOTHER par Click karne par apko vapas vahi page dikhai dega jisme apko Dusra CNAME Code add karna hai. Host wale Box me dusre CNAME Code ka Left wala Code yani ki jo chhota dikh rha hai vo Code add karna hai. aur Point To wale Box me Right sight wala Code yani ki jo bada Code dikh rha hai usko dalna hai. Last me FINISH par click kariye.
#Step 8. Ab apko ek Notification dikh rha hoga jisme apko Save Changes par Click karna hai.
#Step 9. Apka CNAME Code sahi - sahi add hua hai ya nahi ye dekhne ke liye niche Screenshote dekh sakte hai. yani jaisa ki apke Blogger Settings me tha vaisa hi add hona chahiye nahi to Domain Name se apka Blog Open nahi hoga.
#Step 10. Ab apne Blogger Settings me aaiye aur niche Save Option par click kar ke Save kar dijiye. Almost sare Process pure ho chuke hai. Lekin Domain DNS Setting Update hone me 24 Hours tak lag sakte hai. Ab apka Blog New Domain Name Address se khulne lagegi.
Friends lekin abhi bhi ek Process baki hai jise apko karna padega. Yani ki ab aap dekhenge ki apka site bina www. lagaye huve Open nahi ho rhi hai. Iska karan ye hai ki abhi apke Domain DNS Settings ke A(Host) me Google IP add nahi kiya hua hai. Isko kaise add kiya jata hai ye me apko apne aane wale Post me bataunga. Is post ko padhna bhule - Blog Address Ko Bina www. Ke Kaise Set Kare
Agar apko koi dikkat aa rhi ho Domain Name Add karne me to aap Comments ke jariye mujhse puch sakte hai. Aur is Post ko Share jarur kare...Thank You!
42 Comments
Vinay bhai aap kya mujhe ye batayenge ki direct godaddy se domain kharidkar usse website banana theek rahega ya blogger par blog banakar use godaddy se domain kharodkar us domain se jodana theek rahrga
ReplyDeleteaap pahle blogger pe blog banaye fir godaddy se domain karidkar blog se jade...
ReplyDeleteAur agar main direct godaddy se domain kharidoon bina blog banaye to……
ReplyDeleteaap jo themes use kar rhe ho uspar every post par jo date ata he ribbon me wo uska color or uska size chotta kese kiya
ReplyDeletehello sir, please mere blog ke sare sawalo ka jawab dena ( detail me ).
ReplyDelete1. meri post title ke neeche jo description hai wo bahut chhoti dikh rahi hai aur words bhi chhote hai.
2. mobile me kholne par description bilkul nahi dikh rahi hai aur title pura nahi dikh rahi hai.
3. maine apne blog ko google search console me kafi din pahle submit kar diya tha aur sitemap bhi submit kar diya tha bilkul achchi tarah se but search me naHI aa raha.
4. maine apne blog ko kafi din pahle alexa rank par bhi verify kar diya tha aur uska widget bhi add kar liya hai lekin rank ki jagah par "no data" likha aa raha hai.
5. comment system bhi enable karna hai.
6. humari site ka content bhi bataiye kaisa hai.
7. adsense ke liye abhi apply kare ya nahi.
8. hume domain name rs. 611 ka kyo mil raha hai.
please sir mera blog dekhkar mere sawalo ka jawab jarur deejiyega bada ahsan hoga aapka. thank you.
my blog address- www.besthinditips.blogspot.com
ReplyDelete1. aap discription about author me dale kyonki header me ye achha nahi lag rha hai . aap chahe to blog discription footer me apke photo ke sath bhi dal sakte hai.
ReplyDelete2. dicription about authore me daliye haeder me nahi.
3. google serch ingine me aane me blog ko time lagata hai so aap apne post dalne par dhyan dijiye dhire dhire aane lagegi.
4. alexa widget me data tabhi sow karegi jab apki alexa ranking achhi hogi, jaise hi apki ranking inproove karegi data automatic sow karegi.
5. aap comments setting me jakar comment unable disable kar sakte hai.
6. apke post cotent kafi achhe hai aise hi dalte rahiye.
7. jab tak apka blog 6 month old na ho jaye adsense apply na kare. aur about page, contact page and privacy policy page jaruri hai. adsense approve karvane ke liye kam se kam 30-40 achhe post hone jaruri hai apke blog pe.
8. aap coupan code use kar ke domain kharidne me discount pa sakte hai. aap google me search kare bahut sare coupan code mil jayenge. me ek coupan code janta hu vo try kare uska name kiwi hai. google search kare code mil jayega apko.
Apka blog achha hai lekin abhi kuch settings karne jaruri hai apko jaise ki upar blog title me jo discription hai use hataye kyonki bahut lamba hai koi sort discripion rakhe jaise ki maine rakha hai apna "Hindi Me Jane - Apne problem ke solution" is type ka rakh sakte hai. and apne jo niche footer me apni image lagai hai vo kabhi badi dikh rhi hai use chhota kare aur ho sake to use about athore me dale.
ReplyDeletebaki apke post cotent kafi achhe hai aise hi dalte rahiye...all the best!
bohuti accha pos hai thanks vai
ReplyDeletemere sawalo ke jawab dene ke liye dhanywad sir, aapka bahut bada fan ho sir, aap hi follow karta ho sir, aur ha sir aap jo apni post ke ant me enjoy..... likhte hai na sir wo bahut comfortable rahta hai , you are really great sir ( meri nazar me ).
ReplyDeleteMene theme to edit kar ke css coding se aisa kiya hai...
ReplyDeleteDomain sirf apke blog ka address hota hai jise type kar ke koi bhi apke site pe aa sakta hai. Aur Site ki jitni files hoti hai vo to apko host karna hi padega na. Blogger hume free me 5 gb tak host karne ki suvidha deta hai. Jo aam tor pe blogging ke liye kafi hai. so aap jab tak blogger me blog nahi banaoge tab tak domian name koi kam ka nahi hai.
ReplyDeleteMost Welcome Rahul...
ReplyDeleteTemplate Aap ka bahut Achha hai sir please send karo email par.
ReplyDeleteSir Aapki site se bahut kuchh sikhne ko mil raha hai.
Mere is Template ka name ribbon hai aur ye free hai. isliye aap google me search kar ke ise download kar sakte hai.
ReplyDeleteVery nice article....important for me....thanks for share.......
ReplyDeleteYdi hamara blog exm: abc name se hai kya hum usme xvz domin name set krte skte hai ydi kr skte hai to kya process follow krni hogi plz ans""
ReplyDeleteHaa aap kr sakte hai. lekin me apko suggest karunga ki aap godaddy se .com domain kharide kyonki ye jayda professional lagta hai aur humare site ki rank bhi inproove hoti hai. aur vaise bhi coupan code se domain buy karne par apko jyda paise nhi nahi lagane honge.
ReplyDeleteBar bar prayas karne ke bad bhi mobile ka pattern lock onlock nahi ho raha h upay bataye
ReplyDeleteTarika to yahi hai agar firt bhi nahi ho rha hai to apko service centre jana hi hoga.
ReplyDeleteVinay Ji muje ye Bataye ke... Bina. www ke Set karna.. Kitne Dino Ke Baad karna Chahiye...Matlab Domain Ho jane Ke Baad kitna Din ke Baad karna Sahi Hoga
ReplyDeleteJankarihindime. com
Vinay ,Bahut Accha Post kiya hai aapne mera 3 sawal hai
ReplyDelete1.aap mere blog ko visit de ke bataye ki mujhe konsa name rakna chahiye apne blog ke liye
2.aap image editing ke liye kaun sa software use karte ho
3.aap free stock images kaha se download karte ho blog ke liye
mane godaddy se domain kharda our blog m add kiy but jab bhi apane website open karta hu godaddy par pahuch ja ta hu h help www.kinghticks.com help
ReplyDeleteApne DNS setting karne me koi galti ki hogi. aap ek bar mere post ko dekhkar check kar le ki apne sahi sahi coding add ki hai ki nahi.
ReplyDeletevinay bhai ab to mere website bhi open nahi ho rahi h mane aap ki post m dekh kar kiya our save bhi ho gya tha
ReplyDeleteab kya karu kuch bhi samge m nahi aa raha help
hello yaar ab blog bhi open nahi ho raha h help
ReplyDeleteBahi mai godady se domin khridta hu or payment karta hu to last step mai payment nahi ho raha hai or ye worrning aarahi hai kaise thik kare
ReplyDeleteour Debit Card details are currently not available on our system. Please check your card details.
If problem persists, please contact your branch.
apke Debit Card me koi problem hogi, kisi friend ke debit se try kariye ho jayega...
ReplyDeleteVinay ji mai bank of India ke debit csrd se domin buy kar raha hu to is mai bank of India ka options nahi araha hai dusre bank ke list hai par bank of india ke nahi hai..kaise payment karu
ReplyDeleteAap payment karte samay Debit Card choose kare aur apna Card details dal kar Payment kare...
ReplyDeleteDomin add ho gaya hai bhi par 4 din ho gaye site open nahi ho rahi hai or godady ki site ka ek page open hota hai ho sake to chack kR ke batana bhi panarainfo.blogspot.com
ReplyDeleteOr domin lane ke baad.panarainfo.com hai
very useful post for new blogger
ReplyDeleteBro thoda apko bura lag sakta hai lekin mai fir bhi apko batana chahta hu ki jo apne ye post likhi hai usame www and ghs.google.com ko host me set karte huye dikhaya gaya hai jab ki ise cname me add karna hota hai.
ReplyDeleteWordpress me kaise domain name add hoga koi tarika bateye sir
ReplyDeleteBhai Ji ye Sab options Mobile Mai nahi hai iske liye PC Jana pdega kya
ReplyDeletePC ME JAKAR ADD KARO
ReplyDeleteHello Bro.
ReplyDeleteMe Domain name khareedna chahta hu but mere atm card se mere current phone number connected ni h so Domain company ko payment karte time mujhe apne ATM card ka OTP nahi mil payega so kya me kisi Apne kisi friend ya kisi aur ke ATM card se Domain khareed sakta hu isse koi fark to ni padega na ya fir jiske ATM card se Domain khareedunga Aage bhi site me aur kuch aur karne ke liye uske ATm card ki jarurat to ni padegi na. And Bro. Me kariban 1-2 mahine se blogging kar raha hu but ab me apna blogging ka subject change karna chahta hu to me new blog banakar use direct hi domain se connect kar sakta hu kya ya fir mujhe kuch din new blog se blogger par hi blogging karni hogi…???
aap jo blog chala rahe ho woh sahi hai,aap is blog me hi pura kaam kar sakte hai
ReplyDeleteMaine lagaleya hai domain ab kiya karu
ReplyDeleteशानदार पोस्ट .... बहुत ही सुन्दर प्रस्तुति .... !! :) :)
ReplyDeleteThanks
ReplyDeleteDomain ki jankari ke liye thanks
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...