Sabse pahle to me apko yaad dilana chahta hu ki maine pahle ek post dala tha Affiliate Marketing ke bare me. agar apne vo Post padhi hai to apko mera aaj ka ye post achhe se samajh me aa jayega. Isliye jaruri hai ki aap meri vo post pahle jarur padhe.
Amazon Affiliate Program Kya Hai ?
Amazon humare Blog(Website) ke liye Affiliate Program provide karti hai jisme hum unke products ke ads Widget apne Blog(Website) me laga kar paise kama sakte hai. lekin sawal uthta hai ki kaise. to main apko batana chahta hu ki jab hum Amazon Afiliate ke ads Widget apne Blog(Website) pe lagate hai aur agar koi visitors un ads par click kar ke Amazon.in se koi bhi Product Buy karta hai to hume uska 5%-10% Commission milta hai.
Amazon Affiliate hume diffrent-diffrent type ke ads Widget provide karti hai jiski madat se hum apni pasand ki size ke Widgets apne Blog(Website) pe laga sakte hai.
Amazon Affiliate Me Account Kaise Banaye ?
#Step 1. Sabse pahle aap is link https://affiliate-program.amazon.in par click kar ke Amazon Affiliate Program ko Open kariye aur Join Now Free par click kare.
Also Read → Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Upload Kar Ke
#Step 2. Ab ye aap se puchhega ki agar apka pahle se Amazon Affiliate me Account hai to login kare. Apko upar apna Email Address dal kar I am a new costomer par tick kar ke Sign In par click karna hai.
#Step 5. Ab agale form me apko apne Blog(Website) ke Details bharne hai Website Name, URL, About etc. Form pura bharne ke baad Finish par click kare.
Must Read → Share Market Me Ghar Baithe Paise Kamaye
#Step 6. Cogratulation ! Amazon Afiliate Program me apka Account ban gya hai. Ab apko apna Payment Method etc. Details bharni hai agar aap bharna chahe to Specify Payment Method par click kar sakte hai ya fir ise baad me bhi bar sakte hai. Is ke liye Specify Payment Method Later par click kare.
#Step 6. Ab aap upar Link & Banner ya Widget par click kar ke apne Blog(Website) pe Amazon ke ads laga sakte hai.
#Aap ye Screenshote me dekh sakte hai ki Amazon kitne Type ke Banner Ads provide karti hai.
Amazon Affiliate Ke Bare Me Ye Bhi Jane -
- Amazon Afiliate se hum minimum R.S 1000/- hone pe sidhe apne Bank Account me paise le sakte hai.
- Payment Method me Bank Details bharte samay Pan no. bhi dalna hota hai.
- Account banate samay apka Payee name Apke Pan aur Bank account se match karna chahiye.
- Amazon Affiliate Program se hum tabhi achhe paise kama sakte hai jab humare Blog(Website) ki traffic achhi ho.
Friends agar apke man me koi sawal ho is Post ko le kar to aap mujhe comments kar ke puch sakte hai. Aur is Post ko Share jarur kare. Thank You !
17 Comments
very nice post!
ReplyDeleteaapne mere purane question k baare me post nhi kiya. kewal facebook k url ko customise karna bataya.
Me jaldi hi uske bare me bhi post dalunga. Mujhe yad dilane ke liye thanks!
ReplyDeleteHello sir' mera name akrame hai mujha aap se ye puch na hai ki blog website me hum kiya kiya work kar sakte hai
ReplyDeleteAap jo chahe vo kar sakte hai agar apko sahi se knowlage aa gai to....
ReplyDeletenice post .....
ReplyDeletepaise kaise deta hai amazon click karne se ads pe ki koi shopping kare to discount deta hai.....
Apne blog m kisi affliate ka banner kese lgate hai.
ReplyDeleteHello bhai mug ko mera domman select kerna ha mare hrlp kero mera blog
ReplyDeleteHelperking.blogspot.com ha plz help us.
Very very thanks sir
ReplyDeletemain isi ke bare me janne ke liye comment kiya tha.
Nice information Bro keep writing
ReplyDeletethanks Daya shankar maurya
ReplyDeletesir blog post me add kaise lagaye
ReplyDeletesir coment me hmara hkud ka photo kyu nhi aata hai
ReplyDeletesir, amazone ke banner lagane ke baad usme amazone ke product kaise show karwaye...??
ReplyDeletesir, aapne bahut achhe aur saral tarike se samjhaya hai thank you for this article
ReplyDeletesir email marketing kya hai aur kaisay kre please bataiye
ReplyDeleteKya free domain wali website/ blog bnakar Amazon se ads le sakte hai?
ReplyDeleteKya free domain wali website/ blog bnakar Amazon se ads le sakte hai
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...