![]() |
Aadhar - Unique Identification Authority Of India |
Online Aadhar Kaise Download Kare
Hi friends Aadhar - Aam Admi Ka Adhikar hai. Aur ye har jagah kam me aata hai. Aajkal har Banking aur Government karyo me iska hona bahut jaruri hai. Aadhar pure India me maanya hai. ye har admi ka Indenty Proof bhi hai.
To Aaj hum janege ki Online Aadhar kaise Download kiya jata hai.
Ye to Aap jante hi honge ki jab hum Aadhar banvate hai to iske sath humko ek slip bhi milti hai jisme humara Inrolment no. aur Time and Date likha rahta hai. jab humara Aadhar Internate pe generate kar diya jata hai hume apne Register mo. pe SMS mil jata hai.
Aap ne dekha hoga ki kisi- kisi ka Aadhar by post aane me mahino lag jate hai. aise me agar aapko Aadhar ka koi kam hota hai to aap nahi kar pate.
Lekin agar Aap chahe to Online uidai ke site se apna Aadhar download kar sakte hai aur apna kam bhi nikal sakte hai.
To chaliye jante hai ki Aadhar kaise download kiya jata hai.
Read More Article -
Online Aadhar Kaise Dowload Kare -
Step 1 :
www.eaadhar.uidai.gov.in ke site pe jaiye, ek form khulega.
Upar Screenshote me dekhiye
Ab is form me apko Inrolment no. aur Time and Date bharna hai. Aadhar banvate samay jo apko slip mili hogi usme apka Inrolment no. aur Time and Date hoga use bhariye. fir apna naam, pin code aur mobile no. dalkar Get One Time Password pe click kijiye.
Step 2 :
Ab apke Mobile me 6 digit Password aaya hoga
Use niche Enter OTP me bhariye aur Download pe click kar dijiye.
Apka Aadhar pdf Dowload ho jayega.
Step 4 :
Apne Aadhar pdf ko kholiye, Ab ye apse ek code mang rha hoga usme apna pin code/zip code daliye.
Apka pdf khul jayega. Aap Ise Print Out kar ke kahin bhi use kar sakte hai.
Friendss Apko Ye Jankari Kaisi Lagi Aap Mujhe Apne Comments Jarur dijiyega.Aur HMJ ko Subscribe Karna Na Bhule....Dhanywad!
10 Comments
Sir aapke site par 1 din mei kitne visitors Aate hai.
ReplyDelete250 visitors ate hai..
ReplyDeleteSir ji mujhe apna Micromax a 120 kitkat ko lollipop me badlna hai to kiya ho sakata hai agr han to mujhe uski tips bataiy plzzz sir
ReplyDeleteAap meri ye post padhiye Kitkat ko lolipop me kaise update kare
ReplyDeleteHello sir,
ReplyDeletemain apni website banana chahata hu
uske liye mere ko kya krna padega
please tell me about this.
Agar aap website banana chahte hai to blogger me free website bana sakte hai iske vistar jankari ke liye is link par click kare.
ReplyDeleteHamare mobile me channel nahi chal raha hai kya Kari jaldi Bataye
ReplyDeletemst hai sir
ReplyDeletekafi sahayta muje mili eske liye mai Dil se Abhar vakt karta hu
THANK YOU VERY MUCH
sir e disha me registrition kaise hota h or kesi ka be jaise cast ceritificte dekhne ke liya login karna jarori h kya
ReplyDeleteHello sir my address chang
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...