Bidvertiser Se Paise Kamaye Blog(Website) Par
Dosto kisi bhi Blog ya Website ke liye Ads kitne jaruri hai ye to aap jante hi honge. Kyonki Blog(Website) se kamane ke liye hume usme Ads lagana pasta hai. jab koi visitor humare Blog(Website) me dikh rahe Ads ko Click karta hai to hamari income hoti hai.
Google me aap search karenge to dher sare Ads Providing Site milengi par usme ek site jo sabse kam Minimum 10$ payout karti hai vo hai Bidvertiser.
Bidvertiser Kya Hai ?:-
Bidvertiser ek ppc click site hai jo Ads Provide karti hai. Bahut se Advertiser apne Website ko Advertise karne ke liye Bidvertiser ko paise deti hai. jab hum un Website ke Ads ko Publish karte hai to Bidvertiser hume Ads Publish karne ke Paise deti hai. jo hume Paypal ya Cheque ke dwara mil jata hai.
Ab aap jan gaye honge ki Bidvertiser kya hai aur ye kaise kam karta hai. par ishme Account banane ke liye apka Blog(Website) hona jaruri hai.
Agar apka Blog(website) nahin hai to padhiye ye Post - Blog(website) Kaise Banaye
Aur ek chij ki Bidvertiser se paise naikalne ke liye apka Paypal Account bhi hona jaruri hai.
Agar apka Paypal Account nahin hai to padhiye ye Post - Paypal Account Kaise Banaye
Bidvertiser Me Account Kaise Banate Hai. :-
Step 1 - Bidvertiser ke site ko kholiye fir Publisher ke niche Join Free par click kijiye.

Free Me Bidvertiser Account Banane Ke Liye Yahan Click Kare - Make money from your Website or Blog with BidVertiser
Step 2 - Ab ek form khulega

Use pura bharne ke bad Get Activation Code par click kijiye
Step 3 -
Ab apne Browser me New Tab par apna Email kholiye. Apke Email par ek 6 digit Activation Code aaya hoga is Code ko Bidvertiser me Activation Code ke niche bhariye fir Continue par Click kijiye.
Ab apka Account ban gya hoga.
Step 4 -
Bidvertiser me Account banane ke bad ab apko Ads ke Code prapt karna hai. Ads Code prapt karne ke liye Bidvertiser me Login Id aur Password dal kar Login kijiye.
Step 5 - Login karne ke bad ek Page khulega
Usme Add New Bidvertiser par click kijiye.
Step 6 - Ab agale Page me Add New Bidvertiser Under New Doman Select kar ke Apne Blog(Website) ka URL aur Title Daliye.
Fir apni bhasha chuniye uske bad Category me apne Blog(Website) se Related Category chuniye aur last me Finish par click kijiye.
Step 7 - Ab apka Blog(Website) list me aaya hoga.
Ab Choose Tamplate me click karke apna Ads ka Size chuniye aur Update par click kar dijiye.
Step 8 - Ab Get Ad Code par click kijiye.
Uske bad ek Pop up Window khulega usme Ad ka Html Code hoga. use Copy kar ke apne Blog(Website) pe dal dijiye. Ab ye Ads apke Blog(Website) par dikhai denge.
To Dosto is Post me apne jana ki Bidvertiser se Ads ke Code kaise prapt karte hai. Ab is Ads ko apne Blog(Website) me kaise dalte hai vo main apne agale Post me bataunga.
Apko meri ye jankari kaisi lagi aap mujhe Comments ke jariye jarur bataiyega..
Aur aise hi Jankari Pane ke liye Hindi Me Jane ko Subscribe jarur karen..
Milenge agale Post me Dhanywad !!
9 Comments
Everyone you must check this out, this seo content discovery and publishing tool is off the charts, go to http://hopcube.net/content-discovery-now.html is crazy, they really killed it. No more complex processes and jumping thru hoops to create interesting content, now you just put it cruise control and get tons of hits to your website and backlinks that are relevant, it is insane. check it out, it will blow your mind. Go check it out and then share with the rest of us at hindimejane.com
ReplyDeletekya mai bidvertiser kuch mahino ke liye use kar sakta hu jiska baad mai google adsense ke liye apply karunga.Please bataye
ReplyDeleteHaa aap abhi bidvertiser use kar sakte hai. aur baad me google ke ads bhi laga sakte hai..
ReplyDeletebhai mene bidvertiser per account banaya tha to mere click 100+ he or abhi tak mere bidvertiser amount me kuch nahi he ...
ReplyDeleteplease bhai help me....
Bidvertiser se kamane ke liye apke blog pe achhe traffic hona jaruri hai. mere expreance se achha kamane ke liye kam se kam 1000 traffic hone hi chahiye apke blog pe.
ReplyDeleteVery nice information ab me mere blog me bhi yahi advertising network laga lunga fir bad me adsence lagaunga thanks for information
ReplyDeletevisit my blog:-
http://www.Techwithloud.com
Jab tak apka blog adsense layak nahi ho jata tab tak aap bidvertiser use kar sakte hai.
ReplyDeletehello, vinay
ReplyDeletemia apse ye puchna chahata ho ki, kya mai bidvertiser me paypel a/c kisi or ka use kar sakata ho?
plz reply me
haa aap kisi ka bhi paypal account use kr sakte hai.
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...