Ad Code

Responsive Advertisement

Phone Se Aadhar Card Download Kaise Kare-Download Your Aadhar Card On Your Phone

Hello Guys aaj is post me ham apko ek aise topic ke baare me jankari dene jaa raha hu. jiski aaj india me rahne wale har insan ko zarurat hai. ham baat kar rahe hain aadhar card ke baare me. is post me aap padhenge ki Aadhar Card Kaise Download Kare.

Agar aap Aadhar card ko naye tarike se banana chahte hain. to uske liye apko apne nazdeek ki kisi shop par visit karna hoga. par agar aapka UID (Aadhar Card) pahle se bana hua hai. to aap usko is post ki madad se online nikal sakte hain.

Phone Se Aadhar Card Download Kaise Kare

Aadhar Card Kaise Download Kare


Apne mobile phone ya computer ki madad se aap aasani se aadhar card ko download kar sakte hain. par uske liye aapko apne aadhar card number ki zarurat padegi. kabhi kabhi aisa hota hai. Apka Aadhar card kho jata hai. aur aapke pas Aadhar number bhi nahi hota hai.

Agar aapke paas aapka aadhar number nahi hai. to aap usko bhi online nikal sakte hain. uski bhi puri jaankari is post me apke sath share ki jayegi. To sabse pahle jaan lete hain. Internet se apne aadhar card ka number kaise nikale.

Aadhar Number Kaise Find Kare


Apne Aadhar ko download karne ke liye ye sabse zaruri hai. apko aapka Aadhar number pata hona chahiye. agar aapko Aadhar Number pata hai then well and good. lekin agar nahi pata hai. to aap is Article ko follow kare. iski madad se aap aasani se apna aadhar number jaan sakte hain. so lets start how to know Aadhar Number.

Apna Aadhar card Number jaanne ke liye aapka Aadhar card aapke mobile number se link hona chahiye. agar aapka mobile number aapke aadhar card se registered hai. tab aap aadhar number nikaal sakte hain.

Phone Se Aadhar Card Download Kaise Kare

Is page me aapse kuch details mangi jayegi. aapko in details ko fill karna hai. uske baad Send OTP par click karna hoga. Sabse pahle jaan lete hain. In details ko kaise Fill karte hain.

  1. Sabse pahle wale Column me Full Name fill karna hai.

  2. Next Column Me Email id likhni hai.

  3. Uske baad apna Registered Mobile Number Dalna Hoga.

  4. Samne diya gaya Security Code Enter karna hai.

  5. Uske baad Send One Time Password par click kare.


Ek OTP aapke number par aayega. jisko aap saamne wale Column me enter karde. uske baad verify OTP par click kare.  jab aap verify OTP par click karege. tab aapke samne new page khulega. jaha par likha hoga. Apka Aadhar Number aapke Email Id par Successfully bheja jaa chuka hai.

Apni email id ko login kare. waha se apna aadhar number copy karlen. ya kisi kagaz par note karle. kyuki aadhar card download karne ke liye aapko aadhar number ki zarurat padegi. Finally ab aapne Adhar number jaan liye hai. to ab ye bhi jaane ki Aadhar Card Kaise Download Kare.

Aadhar Card Kaise Download Kare


Ab Aap apna aadhar card download karne se zara si door hain. apko bas niche di gayi steps ko follow karke apna aadhar card download karna hai.

Step 1 – Aadhar card Download karne ke liye aap  https://eaadhaar.uidai.gov.in/eaadhaar/search kare.

Step 2 – Jab Aap is link ko open karenge. tab aapke saamne ek new page open ho kar aayega. Jo is tarah hai.



Step 3 – Is page me aapse jo bhi information maangi gai hai. usko Bhare.

  1. Sabse pahle apna aadhar Number likhe.

  2. uske baad apna pura naam likhe.

  3. Apne Area ka Pin Code likhe.

  4. Image me jo text likha hai. wo niche bhare.

  5. Apna Registered mobile number daale.

  6. Get One Time OTP par click kare.


Ab aapke number par ek OTP ayega. jisko aapko sabse niche wale khane me likhna hai. uske baad Validate & Download par click kare dena hai. Click karte hi aapka aadhar card kuch hi der me PDF file me download ho jayega.

Toh doston ab aap apna Aadhar card download kar chuke hain. agar aapko aadhar card ko download karne me koi problem aati hai. tab aap hame comment me puch sakte hain. ya aap apna koi sujhaw dena chahte hain to wo bhi aap hame comment me de sakte hain. hame aapka feedback pakar khushi hogi. blog ko bell bajakar subscribe karna na bhule.

 
Reactions

Post a Comment

0 Comments