Ad Code

Responsive Advertisement

Cashless Online Lenden Kaise Kare -Tips In Hindi

Hello Guys welcom to hindimejane.com Aj Ki is post me ham apko digital hone ke bare me batayenge. usse pahle ham apka share this india par swagat karte hain. agar aap hamare blog ko pahli baar padh rahe hain. to hamare blog ko subscribe zarur karlen. kyuki yaha ham roz internet se paise kamane ke naye tarike batate hain. aaj aap padhnge ki Cashless Lenden Kaise Kare.

Cashless Online Lenden Kaise Kare

Cashless Lenden Kaise Kare


Online khariddari yani bina paise pocket me rakhe kahridari karna hi cashless lenden hai. aapne mera pocket mera bank mera Mobile to suna hi hoga. usi ko explain karke bataye. isi ko cashless lenden karna kahte hain. cashless lenden karne ke bahut sare tarike hain. jisme se kuch mai aapko yaha bataunga. Cashless Lenden Kaise Kare

Credit, Debit, Atm card Ya Check Ke Through – Apko cashless lenden karne ke liye apne paas inme se ek chiz apne paas rakhni hai. aur bank account me paise rakhne honge. uske baad aap swipe karke apna bhugtan kar sakte hain. ya online kharid dari kar sakte hain.

swipe machine se payment karne ke liye apko apna card machine me swipe karna hai. apna amount bharna hai fir pin daal kar enter kar dena hai. uske baad apke account se paise kat jaynge. apko ek slip mil jayegi.

Paytm Ya Apps Ke Through – cashless lenden karne ke liye apko apne phone me paytm apliaction rakhni hogi. uske baad ap koi bhi bhugtan paytm ke through kar sakte hain. paytm se aap paise bhi kamasakte hain.

Cashless…! Yani nakad rupay dene ke bajay Debit, Credit Card, Check ya Fir online bhugtan karna hai. Note bandi ke baad cashless society ka dayra bahut tezi se badh raha hai. shahar se lekar kasbe aur ganw ki famous dukano par bhi aak swipe machine available hai. aap padh rahe hain ki Cashless Lenden Kaise Kare

lagbhag har petrol pump par swipe machine lagi hai. adhiktra log nakad payment ki jagah online payment dena pasand kar rahe hain.  2016 ke akhri time me cashless society ki muhim chhedi gai. Maximum sabhi yuvao ne aur shikshit logo ne is par amal kiya.

Debit aur credit card aur check se payment karne ko adat me shumar kiya. ab to kisano ne bhi khaad, beej aur keetnashak dawao ko kharidne ke liye bhi chek se bhugtan karna shuru kar diya hai.

Ab nayi ummido ke sath naya saal dastak de chuka hai. zahir hai is saal cashless society kafi aage tak pahuch jayegi. kyuki school, collage, aur university se lekar banking sansthao aur industrial area me me cashless bhugtan ki muhim chal rahi hai.

Yuva mantralay aur manav sansdhan vikas mantralay bhi jagrukts ki alakh me jute hain. magar cashless bhugtan ki safalta har insan ki bhagidari aur zimmedari par nirbhar karta hai. kyuki isme na sirf lenden me suvidha hogi. balki financially profit hoga.

Cashless Lenden Ke Fayde



  1. Hamare desh ko iska bahut adhik laabh milega.

  2. Tax chori rukegi.

  3. Sarkar ko pura tax pahuch jayega.

  4. corruption kafi had tak ruk jayega.

  5. kaledhan black money ki jamakhori ruk jayegi.

  6. Fizul me nakad paise lekar chalne ki zarurat nahi hogi.

  7. Bank ya atm se rupay nikalne jane ki zarurat nahi hogi.

  8. Ghar me zyada cash rakhne ke khatre se bhi bach jayenge.

  9.  Ghar baithe paise bhej sakte hain

  10. kisi se bhi ghar baithe udhar paise mang sakte hain.


kisi bhi tarah ka jaise shopping, bijli, pani, bill, tax, beema kisht, home loan etc ka payment aap ghar baithe kar sakte hain. isse time bhi bachega. aap apne kaam ke sath me hi shopping aur baki sab kar sakte hain. jo aap chahe.

Ham Badle To Desh Badal jayega


Doston pahle hum kisi bhi cheej ka payment karne ke liye apne paas paise rakhne padhte the lekin ab aisa jamana aa raha hai ki sab tarah ka payment aap paytm se kar sakte hain woh paisa aapke account se cut jaayega doston kuch log ab bhi aise hain jo paytm use nahin karte toh bhaiyyon me bas yahi kahna chah raha hun ki jab poora dekh badal raha hai toh aap bhi badal jaiyye.

Online Banking Ya Lenden Me Rahna Hoga Alert


Online Bankin Ke liye thoda satark rahna hoga. agar aap mobile banking karte hain. tab bhi apko sawdhani ki zarurat hai. apne phone me password daal kar rakhe. taki koi apke phone ko check na kar paye. apni banking id aur password badalte rahe. phone me antivirus ka use kare. Phone Ki history clear karte rahe.

Banale E – Wallet – daily bases ke use ke liye aap paytm ya apni kisi bank ka e- wallet download karle. apne bank account se apne wallet me zarurar ke hisab se paise transfer karle. uske baad aap asani se apne phone se payment kar sakte hain. sara bhugtan apke wallet se hoga.
Toh doston ummid karta hun aapko ye post acchi lagi hogi plz hamare blog ko subscribe jaroor kare aur comment me bataye ki aapko yue post kaisi lagi.
Reactions

Post a Comment

0 Comments