Ad Code

Responsive Advertisement

Mobile Number Ko Aadhar Card Se Kaise Link Kare

Mobile Number Ko Aadhar Card Se Kaise Link Kare


 

Dosto aap sabhi jante hai ki aadhar card ka sab kam me walid mana jata hai.,Esi liye sarkar ne adesh diya hai ki sab ka aadhar card hona jaruri hai. dosto aap sabhi ne suna ya padha hoga ki SCcourt ne  mobile aadhar card se link karne ka adesh diya hai. so it is necessary ki aap bhi apna mobile number ,aadhar card se jarur link kare.

Most Read :  MOBILE PAR NEWSPAPER KAISE READ KARE-HOW TO READ NEWS PAPER

lekin agar apne alerdly mobile number ko aadhar card se link kiya hua hai to fir aapko dubara update karne ki jarurat nahi hai

Click Here To Reading More >>


many people ke saath aisa hua hai ki unhone aadhar card banwaya or mobile number bhi update kiya lekin baad me kisi reason se mobile number badal gaya ya banth ho gaya toh fir ye jaruri hai ki hum apna new mobile number ko aadhar card se link karwaye.

Most Read : ANDROID MOBILE ME LIVE TV KAISE DEKHE-WATCH TV SHOWS ONLINE‎

  • agar aap chek karna chahte hai ki apka mobile number aadhar card se link hai ya nahi hai to yeh step s follow kare.


Step 1 : 

Aadhar card ki official site par jaye.

Mobile Number Ko Aadhar Card Se Kaise Link Kare

Step 2 : 

Aadhar card number ,Email id or mobile number Enter kare .

Step 3 : 

Image me display text ko Enter karke submit kare .

Es process ke baad diye gaye mobile number par reply me agar apko sms milta hai to samaj lijiye ki apka mobile number aadhar card se link hai.

[caption id="attachment_3375" align="aligncenter" width="434"]Mobile Number Ko Aadhar Card Se Kaise Link Kare Mobile Number Ko Aadhar Card Se Kaise Link Kare[/caption]

HOW CAN LINK AADHAR CARD WITH MOBILE NUMBER


Ese Bhi Padhe : SARKARI YOJANA KYA HAI-SARKARI YOJANA KI LIST 2017

Dosto agar apko sms nahi milta hai to Es ka matlab yah hai ki apka mobile number aadhar card se link nahi hai.aadhar card ko mobile number se kaise link karte hai yeh me apko step by step bata raha hu.

Yeh baaat dhyan me rakhe ki agar apka mobile number aadhar card ke sath link nahi hai toh aap aadhar card me kuch bhi chang nahi kar sakte ,jaise name or address correction ,Esiliy updation ke liye mobile number aadhar card se link hona jaruri hai.

Yeh fact bhi dhyan me rakhe ki mobile number ko online tarike se aadhar card se update nahi kar sakte hai Es ke liye 2 tarike hai jo me apko bata raha hun.

First Way


Pahla tarika yeh hai ki aap apne nearest aadhar card Enrollment center  par apne vallid document saath leakar jaye or mobile number link karaye .Mobile Number Ko Aadhar Card Se Kaise Link Kare,vallis id ke liye aap apna aadhar card lekar jaye.jab mobile number aadhar card ke sathlink ho jayega tab mobile number par apko confirmation number message aa jayega.

Ese Bhi Padhe : AMAZON PRIME KYA HAI-AMAZON PRIME SE KYA HAI BENEFITS

Second Way


Dusra tarika yeh hai ki aap online correction form download karke usko fill kare or aadhar Enrollment center ko post ke jariyr send kare.Es ke liye aap yeh process follow kare.

  1. Aadhar card correction form download kare.


        Click here for download Aadhar correction form

2. download hone ke baad form ka printout nikal kar fill kare.

3.  Form fill karne ke baad aap apke pass ke Enrollment center par jakar Aadhar card ki copy ke sath yeh form                   submit kare.

4.  Agar apke pass aadhar Enrollment center nahi hai toh aap niche diye gaye address par form post ke through                 send kar sakte hain.

  •  UIDAI POST BOX NO.99 BANJARA HILLS ,HYDERABAD 500034 INDIA

  •   BOX NO.10 CHHINDWARA , MADHYA PRADESH 480001 INDIA


Upar diye gaye 2 address me se aap jis par bhi chahe apna correction form send kar sakte hai.

Es ke baad apko kuch day wait karna padega jaise hi apka mobile number Aadhar card ke saath link ho jayega              apko confirmation sms mil jayega ya Email par mail se apko notice kar diya jayega .

 
Reactions

Post a Comment

3 Comments

Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...