Ad Code

Responsive Advertisement

M-PIN Kya Hota Hai-Mobile Banking Me M-PIN Use Kaise Kare

M-PIN Kya Hota Hai,Hum sab jante hai ki smart phone or internet ke ane se sab kam asani se hota ja raha hai. internet se hum online koi bhib kam kar sakte hai. jaise online shopping , online banking information, online goverment yojana, hum ab apne gare[home] bethe kar sakte hai.ab hum gare bethe kisi ke account me money transfer bhi asani se kar sakte hai. ab sabhi banking process online hoti ja rahi hai.

Aap mobile banking se parichit [[Familiar] to hoge hi. mobile banking me aap aksar MPIN ka name sunte hi hoge. kuch logo ki tarah apke mind me bhi MPIN ke bare me kai sawal hoge ,MPIN kya hai  , MPIN kyo jaruri hai  , Ese kaise prapt kiya jaye ya kaise badle , agar hum apna MPIN bhul jaye to naya kaise prapt kare , Es post me mene apke Esi sawalo ka jawab dene ka prayas kiya hai.

Most Read :  SARKARI YOJANA KYA HAI-SARKARI YOJANA KI LIST 2017

 

MPIN KYA HAI 


MPIN ak code hai.yeh ATM pin ki tarah 4 anko me [kuch bnanko me 6 anko ]  hota hai. jis tarah ATM ka use karte time apko har baar uska pin code dalna padta hai usi tarah mobile banking , USSD banking OR UPI app se lenden karte vakt apko MPIN dalna padta hai.Aap Ese sirf apne mobile se lenden karte vakt use kar sakte hai.yah apke Account  se MOBILE BANKING , USSD BANKING, or UPI se hone wale lenden ko surkshit [secure] banata hai.

MPIN KYO JARURI HAI


Bank se honewale lenden ke liye 2 tarah ki secure [ suraksha] honi jaruri hoti hai . jis tarah apko ATM se lenden karte vakt pahle tarah ki suraksha [secure] apka ATM or dusre tarah ki suraksha [secure] apka ATM pin hota hai.jab tak kisi ke pas yeh dono nahi hoge tab tak wah apke khate se lenden nahi kar sakta.

Wese hi mobile se lenden karte vakt pahle tarah ki surksha [secure ] apkpa mobile number or dusre tarah ki suraksha [secure ] apka MPIN hota hai.Es ke bina aap ya koi or apke khate se lenden nahi kar sakta.

Most Read : ANDROID MOBILE KA PASSWORD BHUL JAYE TO KYA KARE-HINDI ME JANE

MPIN KA USE 


MPIN ka use mobile banking ke lenden ke vakt hota hai. yah ak bahot hi important code hai.niche di gayi banking suvitha me Es ka use kiya jata hai.

  • MOBILE APP BANKING

  • SMS BANKING

  • UPI APPS

  • USSD BANKING

  • IMPS

  • IVR


MPIN KAISE PRAPT KARE YA MPIN KAISE CHANGE KARE


MPIN pane ke liye apko mobile banking me registare hona padega. jab aap mobile banking ke liye registare karvate hai to bank apke bank apko user ID ke saath apka MPIN deta hai. aap apna MPIN USSED or UPI app se bhi bana sakte hai. Ese USSD BANKING or UPI app se create karna bilkul hi asan hai.

Ese Bhi Padhe : MOBILE PAR NEWSPAPER KAISE READ KARE-HOW TO READ NEWS PAPER

USSD SE MPIN KAISE GENERATE KARE



  • Apne registere mobile number se *99#dial kare.

  • Next screen par apne bank ka 3 akshar[word] wala name ya IFSC ke pahle 4 akshar [word] ya bank ke  sankhya ke code ke pahle 2 akshar [word] dale or bhej de.

  • Next menu me 7 likhe or fir se bhej de.

  • MPIN janret karne ke liye 1 likhe or bhej de.

  • Diye gaye step ki tarah MPIN janret kare


USSD SE MPIN KAISE CHANGE KARE



  • Apne registere mobile numbre se *99#dial kare.

  • Next screen par apne bank ka 3 akshar [word] wala name ya IFSC ke pahle 4 akshar [word] ya bank ke sankhya ke code ke pahle 2 akshar [word] dale or bhej de.

  • Next menu me 7 likhe or fir se bhej de.

  • MPIN janret karne ke liye 2 likhe or bhej de.

  • Next creen par purana MPIN , new MPIN dale confirm kare or submit kare.


SBI UPI APP KA USE KARKE MPIN GENERATE KARE



  • SBI UPI APP me login kare.

  • Account management me jaye.

  • Jis Account ka MPIN janret karna chahte ho usko choise kare.

  • Set MPIN option par jaye.

  • Waha diye gaye option se MPIN janret kare.


UPI APPS SE KAISE CHANGE KARE MPIN



  • SBI UPI APP me login kare.

  • Account management me jaye.

  • Jis Account ka MPIN change karna chahte uska choise kare.

  • "CHANGE MPIN " option par click kare.

  • Ab apna purana MPIN or new MPIN dale confirm kare or submit kare.


Mene apko samjane ke liye SBI UPI APP SBI PAY ka use kiya hai.lekin MPIN janret karne ya change karne ki process sabhi UPI APP jaise  ICCI UPI APP, HDFC UPI AAP , or PNB UPI APP me ak jaisi hi hai.

Ese Bhi Padhe : RELIANCE JIO NE LOUNCH KIYA DTH TV SET TOP BOX-JIO TV SET TOP BOX

MPIN BHUL JANE PAR KYA KARE..


Dosto apna MPIN bhul jane par bhi chint karne ki jarurat nahi hai. aap kisi bhi vakt apna new MPIN janret kar sakte hai. Aap net banking ,ussd banking , ya fir UPI app ka use karke asani se nwe MPIN bana sakte hai. Net banking se new MPIN janret karne ki process sabhi banko me alag alag ho sakti hai lekin USSD or UPI APP ki process lagbhag ak jaisi hai.

 
Reactions

Post a Comment

3 Comments

  1. thanks sir,
    ye website banane ke liye sir me ye janna chata ho ki agar koi allhabad bank ka mpin bhul jaye to wo ise kaise prapt kare.

    ReplyDelete
  2. Mere phone chori ho gaya hai usme mobile banking app khulla tha Kya kru

    ReplyDelete

Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...