Dosto aage batane se pahle me apko Youtube ke Videos dalne ke Terms ko fir se batana chahta hu.
- Aap youtube par kisi aur ke videos ko nahi dal sakte hai nahi to us channel pe copyright hone ka claim laga kar uspe Ads display nahi honge. Aur yadi ads display nahi honge to apki earning bhi nahi hogi.
- Dusri Rules ye bhi hai ki agar aap kisi aur ke Videos ko Copy kar ke apne Channel me dalte hai aur jiska vo video hai usne agar Youtube me complain kar diya to apka channel delete bhi kiya ja sakta hai.
YouTube Par Legally Dusare Ka Video Upload Karke Paise Kaise Kamaye
Ab jante hai ki ham dusre ke video ko Legally Upload kr ke paise kaise kama sakte hai. Jis Video me YouTube Standard License likha hota hai use ham copy kar ke nahi dal sakte hai. Is tarah ke video agar hamne apne channel me dale to ye pakka hai ki Copyright claim apke video pe aayega hi aayega. Agar aap chahte hai ki video pe copyright claim na aaye to apko aise video hi apne channel me dalna chahiye jo Free License ho.
Ab hamare liye ye pareshani aayegi ki hame kaise pata lagega ki kon sa License kis video me hai. To iske liye apko ye pata hona chahiye ki kisi bhi video ka License kaise pata kar sakte hai. Iske liye apko kisi bhi video ko play karna hai uske baad aap Show More par click karne par apko dikh jayega ki us Video me kon sa License hai.
Lekin ham har ek video ko check nahi kar sakte iske liye me apko ek tarika bata deta hu jisme aapko aasani se pata chal jayega ki kon sa video Free License Video hai.
Step 1 – Youtube me jakar aap sabse pahle koi bhi Video Search kare jo aap chahte ho.
Step 2 – Uske Baad Search result aane ke baad apko Filter ka option dikhega upar kone me uspe click kare.
Step 3 – Filter me apko bahut se option dikhenge jisme apko Creative Commons par hi click karna hai.
Step 4 – Ab jitne bhi Free Creative Commons Videos honge vo apke samane Show ho jayenge.
Ab aap jis video ko dalna chahiye use Download kar ke apne Channel me dal sakte hai aur paise bhi kama sakte hai.
Ummid karta hu dosto ki apko meri ye jankari achhi lagi hogi. Aagar aapka koi sawal ho is post ko lekar to mujhe comments ke madhyam se puchh sakte hai. Is post ko share karna bhi na bhule…Thank You !
6 Comments
bahut badiya jankari de apne...aagar aagar aap ghar baithe paise kamana chahte hai to www.neerajwiki.com par aajao .koi investment ki jarurt nahi hai .
ReplyDeleteApane Kah ki AAP free licence videos ko apane chanel mai upload kar sakte hai Lekin mera question ye hai ki Apana chanel kaise banayegi?
ReplyDeleteacchi jankari diya h aapne thankssssssss
ReplyDeleteSir kya me song wala channal bana sakta hu Q ki mene bhot se channal dekhe h jinme song upload kiye jate h plz help ...
ReplyDeletesir you tube me apna account kese create kru . i mean apna chanel kese banu.. website nhi hai koi...meri
ReplyDeleteApana chanel kaise banayegi?
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...