- Whatsapp Ki Puri Jankari Hindi Me Paayenge
- Whatsapp Me Stylist Font Kaise Likhe
- Bold, Italic Kaise Likhe
- Whatsapp Me Kisi Ko Block kaise Karte Hai Pura Tarika
- Video Call kaise Kare
- Shortcut Kaise Banye
- Whatsapp Computer Par Kaise Chalaye
- Whatsapp Par ek sath sabko Message Kaise Bheje
- Hindi Kaise Type karte Hai
- Gif File Kaise Bheje
Aese Hi Hamne Jayda Se Jyda Whatsapp Tricks Ko Yhan Cover Kiya Hai.
Aasha hai aapko Hamari Yah Post Whatsapp Tricks And Tips In Hindi Pasand Aayegi.
Whatsapp Ki Sari Problems Ka Solution (One To All)
Whatsapp me Bold Font yani ki Mote Akshro me kaise Likhe :-
Whatsapp me aaj se 6 mahine pahle yah baat badi ajeeb thi ki agar kisi bhi main Heading ko hame kafi dikkat hoti thi , lekin ab ye bahut aasan ho gya hai,chaiye jante hai whatspp me mote latters ko kaise use kare aur whatspp ke messages ko mote font me kaise likhe.
Iske liye aapko kewal jis font ko dark karna ho uske aage peeche star[*]ka use karenge :-
Type on Chat : *Bharat Ki Shan me aapka swagat Hai*
Result : Bharat Ki shan me aapka swagt Hai
Whatspp Me Tirche Letters [ Italic ] Me kaise likhe :
whatsapp me tirche font ke Liye aapko bold font ki tarah hi word ke aage aur peeche (_)ka use karenge .
Type on Chat : _Bharat Ki Shan me aapka swagat Hai_
Result : Bharat Ki shan me aapka swagt hai
- Whatsapp meKate Font ya Letterts( strikenthrough) me kaise Type Kare : whatsapp me meKate Font ya Letterts( strikenthrough) font ke Liye aapko strikenthrough font ki tarah hi word ke aage aur peeche (~)ka use karenge .
Type on Chat : ~Bharat Ki Shan me aapka swagat Hai~
Result :
Whatsapp Me Gif File Bheje Whatsapp me He Search Karke :-
Dosto, agar aapko gif Image ke bare me jankari nahi hai aur aap nahi jante ki gif file kya hai to dosto aapne kai bar aese Image dekhe honge Jo video jaise lagte hai ya images lagatar badalti rahti hai to ise hi gif file kahte hai.
Whatsapp aaye din Behatar aur Behtar Banta ja rha hai, whatapp Ka ek aese ki naya Update dekhne ko mila hai jisme aap whatsapp me search karke hi manchahi gif Photo apne dost ko bhej sakte hai . Yah Option aapko ab emoji par click karne par milega wahan ab aapko emogi ke sath hi gif file ka option bhi milega, gif option click karte hi aapko kuch gif images najar aayengi sath hi isme ab aapko neeche search ka option bhi najar aa rha hoga. Jahan aap apni manpasand emgi seach kar sakate hai.
Whatsapp February Update me whatsapp ne naye emoji bhi aur add kar diye hai agar aapne abhi tak apna whatsapp Update na kiya ho to aap abhi kar le aur naye emojies ka maza le.
Whatsapp Me Video Call Kaise Kare :-
Whatsapp me ab aap Imo ki tarah hi video call kar sakte hai , iske liye aapko bas ye Karna hai ki aap jis friend ko Video Live call karna chahte hai use phone icon par click karne ke bad aap video call option se call kar sakte hai.
Sare Friend Relatives ko ek bar me Whatsapp kaise Kare/Bheje -
Dosto yah ek aesa question hai jo har koi puchta hai Kyonki sare Logo Ko alag alag message bhejna bhut hi mehnat ka kaam hai na .
- Whatsapp Par ek sath sabko Message Kaise Bheje
Dosto, whatsapp me ek se ek features diye gye hai Lekin inhe koi janta nahi , whatsapp se sare logo ko ham message bhej sakte hai , iske liye broadcost ka Option diya gya hai jise aap use kar sakte hai . Yah bilkul group jaisa hota hai lekin yah group aap banate hai jisme aap jo bhi message type karte hai wo broadcast group me jude sabhi logo ko alag alag jata hai. Yani ki bhejne wala hi kewal yah janta hai ki yah group hai , aur message pane wale vyakti ko lagta hai yah message Specially use bheja gya hai.
Ab jante hai step wise ek bar me sabko message kaise bheje :
- Pahle Chat par jaaye Fir Right side me uper teen dots par clicks kare waha New Broadcast Par Click Kare .
- Ab jin Candidates ko message bhejna hai unhe select karna hai unhe Tick Mark Kare
Ab kewal ek bar me sabko message bhej sakte hai.
Whatsapp Ka number Kisi dusre Number Se Kaise badle :
Pahle Chat par jaaye Fir Right side me uper teen dots par clicks kare waha Settings Par Click Kare.
Ab Account par click kare
Ab Change Number Option Par Click Kare.aur Next par Click Kare.
Ab apna purana no dale fir naya number dale aur OTP dalkar Done Kar dijye . is prakar aapka purana no naye number par covert kar diya hai.
Whatsapp Par Kisi Ko Bhi BLOCK Kaise Kare :
Dosto, Kai bar aese Unknown Log aapko bar bar Pareshan Karte Hai , aeses logo ko jante hai whatsapp par kisi Bhi Person Ko Block Kaise Karte Hai.
Pahle aap us aadmi Ki Profile par Jaye jise aap block karna chah rahe hai
Ab aap side ke teen dots par click kare , jaha aap More Par Click kare.
Fir aapko block par click karna hai , agar aap baad me us aadmi ko unblock karna chahte hai to yahan par aapko block karne ke bad unblock option nazar aayega , jahan aap use unblock kar payenge
Whatsapp par automatic ( Apne Aap) Images , songs ko Download hone se Kaise Roke :
Iske liye sabse pahle aap whatsapp setting par jaye
Fir Data Usages Option Ko Click Kare
Fir When using mobile Data Par click Kare.
Ab aap sare Tick Hata dijiye aur save Kar dijiye .is prakar aapka Mobile Data aur Phone Memory dono Bachegi.
Kisi Dusre Ya Girlfriend Ki Chat Kaise Check Kare :
Dosto, aapne kai trick abhi tak padhi hongi ki girlfriend ki chat kaise padhte hai ya hack karte hai , lekin jab post padhte hai to nateja ye nikalta hai jo tricks batayi gayi hai unka use karna possible hi nahi hai. To friends aaj ki post me aap kisi bhi whatsapp ko assani se padh sakenge hack kar sakenge .
Iske liye aapko jarurat hogi 10 second ke liye uske mobile ki jarurat jiska aap whatsapp chat padhna chah rahe hai .
To chaliye jante hai kaise kisi bhi ka whatsapp chat padhe
Iske liye aap apne mobile me ek link open kare - www.web.whatsapp.com wo bhi google crome me aur waha jakar request desktop mode ko on kar de ab yahann par aapko ek bar code nazar aa rha hoga , yah bar code aapko us mobile se scan karna hai jiski aap chat padhna chahte ho uska mobile kuch der ke liye mange aur uske mobile ka whatsapp on kare aur chat par jaye fir aapko uper ke right side ke 3 dots par click karna hai , dots par click karne ke baad aapko whatsapp web ka option nazar aayega aapko is par click karna hai aur apne mobile se is code ko scan kare . 3 second ke ander yah scan ho jayega .
Ab aap jab chahe tab www.web.whatsapp.com par jakar scan kiye gye mobile ka whatsapp chat pad skenge .
Whatsapp Chat Shortcut Kaise Banaye –
Dosto , ham chahte hai ki jab bhi hamara dost hame koi bhi message kare to hame turant pta chal jaye ki hamare dost ne hame yah message bheja hai iske liye hame apne mobile par apne friend ka whatsapp shortcut banana padega jiski help se jab bhi hamara dost hame message bhejega hame bina whatsapp khole hi pta chal jayega ki hamare dost ne hame message bheja hai .
Iske Liye Sabse Phle aap aap apne dost ki chat par jaye aur right side ke 3 dots par click kare fir More Option par click kare ab yahan aapko Add Shortcut Option Nazar aa rha hoga is par click Karne Ke bad aap apne friend ka Whatsapp shortcut apni screen par paayenge.
Whatsapp Ko Laptop , Computer ( PC ) Me Kaise Chalaye :
Dosto, Aapne Facebook ko to aapne bahut baar Computer par open kiya hoga . lekin Whatsapp ko Laptop par kaise kholte hai chalate hai yah aapke dimag me question jarur aaya hoga. yah jo trick mai abhi aapko batane wala hun uske liye aapko computer par whatsapp chalane ke liye kisi bhi Software ke chala sakte hai .
iske liye sabse pahle aap apna browser khole aur yah link apne pc browser me open kare - https://web.whatsapp.com/
iske baad aap apne mobile me whatsapp open kare aur chat par jaye fir aapko uper ke right side ke 3 dots par click karna hai , dots par click karne ke baad aapko whatsapp web ka option nazar aayega aapko is par click karna hai aur apne mobile se is code ko scan kare . 3 second ke ander yah scan ho jayega . ab aapko sara whatsapp data aapke laptop computer par show hoga .
Whatsapp Group Me Kisi Ko Personal Message Ya Indicate Kaise Kare :
Whatsapp aaye din bahut kuch badlav karta rahta hai , jo whatsapp ko day by day bahut hi accha banata ja rha hai. jab bhi ham group me kisi personal insan ko message bhejna chahte hai to hame majbooran wash baar baar uska naam lekar use indicate karna padta hai, joki accha nahi lagta aur yah proffesional bhi nahi lagta hai. chaliye jante hai kisi trick se ham group me kisi ko bhi personal message bhej sakte hai ,
iske liye aapko @ par Type karna hoga uske baad aapko list show hona start ho jayegi. aur uske naam par click karke aap use directly message kar sakte hai.
Whatsapp Par Hindi Message Kaise Bheje :
Dosto , Jaisa ki aap jante hi hai hindi ek Proffesional Bhasha hai , aur Isme Type Karke Kisi Ko Bhi Message Bhejna Message Me Char Chand lga deta hai. Dosto Iske Liye aapko kewal ek app ki jarurat padegi jiski Help se aap na kewal whatsapp par balki aur bhi Social Plateform Twitter Facebook yani sab kahi Hindi me Message bhej paayenge .
Iske Liye sabse pahle aap Playstore par jaye aur waha type kare Google Indic Input tool aur yahn se aap us app ko download kar le aur Language Hindi select kar le aur whatsapp par aaram se kisi ko bhi hindi me message Bheje .
Whatsapp Par Encryption Ya Verify Security Code Kya Hai :
Dosto jab bhi aap whatsapp par aap kisi bhi apne dost ki Whatsapp Profile Open Karte Hai to wahan aapko Ek Word nazar aata hai Encryption aur fir jab Encryption par click karte hai to Ek Code nazar aata hai jiske uper Likha hota hai Verify Security Code , dosto whatsapp ne aaj se 8 se 9 mahine pahle yah option hame diya jiski help se ham apni chat secret rakh sakte hai , wani ki jo code aapko yhan nazar aa rha hai use apne dost ke mobile par scan karne ke baad aap dono ke shiva koi bhi aapka message nahi padh payega , yani ki khud whatsapp company ke owner bhi ise nahi padh sakte.
Whatsapp Account ko delete Kaise Kare :
Whatsapp Account Aesa Account Hota hai ,jiska thoda sa bhi galat pryog aap ke Relation ko Bigad sakta hai . Bahut se log Sochte Hai ki Kewal Whatsapp Uninstall Karne se Hi Unka account delete ho chuka hai lekin yah sochna bilkul galat hota hai. kyonki aesa karne se aapne to whatsapp uninstall kar diya lekin jo aapko messages Group ki tarf se ya aapke dost ki taraf se aa rahe hote hai wo aate rahte hai aur jab bhi usi no se apna whatsapp dubara install karte hai to wo message aapko aana start ho jate hai , chaliye jante hai kya hai sahi tarika whatsapp ko uninstall karne ka.
Sabse Pahle aap Whatsapp Setting me jaye jahan aapko Account Option Nazar aa rha hoga.
account par Click Karne ke baad aapko Delete My Account nazar aayega aap is par Click Kariye , Iske baad aapko apna no dalna hai jiske baad aapko Delete My Account par Click karna Hai is tarah se aapka Whatsapp Account DELETE ho jayega.
दोस्तों, आशा है आपको हमारी यह पोस्ट Whatsapp Tricks And Tips In Hindi पसंद आई होगी , अगर आपके पास कोई भी और समस्या है या आपके मन में कोई प्रश्न है तो बेहिचक हमसे पूछे !!
भारत की शान के साथ जुड़े रहने के लिए धन्यवाद :)
0 Comments
Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...