Dosto agar aap computer user hai to apko Winrar software ke bare me to pata hi hoga. Agar nahi pata to me bata deta hu. Winrar ek aisa software se jis se hum RAR ya Zip files ko asani se Extract kar sakte hai. Aur is software ki sab se badi khasiyat yahi hai ki hum apne kisi bhi folder ko zip ya RAR file bana kar usme password laga sakte hai. Aur apko bata du ki Hackers ko RAR ya zip files ko crack karna asan nahi hota. Yani ki is tarike se hum apne files ko surakshit rakh sakte hai. To chaliye dosto jante hai kaise.
WinRar Se Folder Me Password Kaise Lagaye ?
Step 1. Sabse pahle apko apne computer me Winrar software install karna hoga. Aap is link se software download kar sakte hain.
Step 2. Ab Jis Folder ko Aapko lock Karna hai Use foler par Right Click kare Aur Add to Archive par click kare
Step 3. Ab aapke Smane Ek Box khulega Jis me Niche Set password par click kare ! Aapke Samne Password Box Khulega Jis me Aapko Password Dena hai ( Enter password Aur re-enter password de, Aur Ok kar do Apki Folder securely Lock ho jayega )
Step 4. Lock lag jane ke bad Aap jab hi use File ko Extract karna Chahenge to Apke Samne aisi Screen Aayegi jisme Aapko right password dekar Ok karna hai Fir Aapki File Password Dalne par khulegi.
To dosto apko meri ye jankari kaisi lagi comments ke madhyam se bataye aur post pasand aai hogi to ise share jarur kare…thank you !
0 Comments
Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...