Ad Code

Responsive Advertisement

Browser Me Ek Sath 2 Gmail, Facebook Account Kaise Use Kare

Namaste dosto, Browser Me Ek Sath 2 Gmail, Facebook Account Kaise Use Kare,aaj ke samay me bahut kuch badal chukka hai. pahle kisi – kisi ke pass gmail, facebook account hota tha. Lekin aaj ke samay me har kisi ka gmail, facebook account hota hai. jahan tak ki ek nahi balki 2-3 hota hai. lekin hum sabko ye pata hai ki agar hum apne browser me sabhi gmail, facebook account ko login karna chahe to pahle hame,  pahle wale account ko log out karna hoga uske baad fir dusre wale me login ho sakte hai. lekin agar hame apne ek hi browser me 2 gmail, facebook account ek sath kholna ho to kya ham aisa kar sakte hai. ji haa dosto ye sambhav hai aur aaj ki is post me ham iske bare me hi janenge. To chaliye jante hai ki ham ek hi browser me ek sath 2 gmail, facebook account kaise use kar sakte hai.

Ek Browser Me 2 Gmail, Facebook etc. Kaise Chalaye ?


Step 1. Sabse pahle aap apne browser ko khole aur apne gmail ya facebook account me login kare.

Step 2. Ab aap apne ek gmail, facebook me login ho chuke hai. ab dusre me bhi login hone ke liye Private Browsing (New Incognito Window) me jana hoga. Private Browsing (New Incognito Window) me jane ke liye upar dahine taraf kone me option par click karna hai vahan par apko “new incognito window”  ka option dikh rha hai us pe click kare. Shortcut key – “Ctrl+Shift+N” bhi daba sakte hai. (agar aap firefox browser use kar rahe hai to apko “Private new window” option par click karna hai ya shortcut key – “Ctrl+Shift+P” dabaye.)

Private new window

Step 3. Ab aapke samne ek Private Window open hoga jahan par aap dusre gmail, facebook par login kar sakte hai.

Ek Sath 2 Gmail, Facebook Account Kaise Use Kare

To lijiye dosto ab aap ek hi samay me, ek hi browser pe 2 gmail, faceboo ect. Account me login ho chuke hai.

Ummid hai ki apko ye post achhi lagi hogi. Aapko ye jankari kaisi lagi comments ke madhyam se bata sakte hai. is post ko share jarur kare…Thank you!
Reactions

Post a Comment

0 Comments