Color code ko pata karne ka ek generator hota hai. Jiske jariye ham koi bhi color ka code chutkiyo me pata kar skte hai. Aap is generator ki madad se code ko pata kar apne template me apply kar skte hai. Sabse jyada color code ki jarurat hame header menu, background color aur footer me padti hai. Ab apko iske liye jyada pareshani uthane ki jarurat nahi hai. Is trick se apka sara kaam bohat easy ho jayega.
Apni Pasand Ke Color Ka Code Kaise Pata Kare
Pasand ke color ko code me change karne ke liye koi bohat badi process nahi hai. Iske liye mai apko kuch tips bta raha hu ki color generator ka use kaise kare.
Color Generator Me Yaha Se Jaye
1. Brightness
yaha par aap apne hisab se color ko kam jyada kar skte hai. Bas aap apne mouse ko uthaiye aur curser ko ghuma kar color select kar skte hai. Jo bhi aapko color pasand ho us par click kar apne color ko choose kar skte hai.
2- Swatch
Ye box aapko wo color dikhayega jo color apne select kiye. Agar apne green select kiya hai toh box me aap green color dekh skte hai.
3- Hue Saturation
Hue saturation brightness ke samne percentage ko show karta hai. Isse aapko color choose karne me help milegi.
4- Hex
Jab aap color ko select kar le uske baad apko uska code milega wo aap yaha se copy kar skte hai.
Dosto agar apko ye post pasand aayi ho toh apne dosto ke sath hamare blog ki posts share karna na bhoole. Kyuki agar aap dosto ke sath share karege isse aap bhi hamari madad kar payege.
Is post ke jariye aap apni template me jaisa chahe vesa color use kar skte hai. Agar aap ek new blogger hai toh aap hamari blogger aur SEO category ki post padhkar ek acche blogger ban skte hai.
Agar aapko blogging me kahi bhi kuch bhi problem ho rhi ho toh aap comments se hamse apna sawal puch skte hai.
6 Comments
mai aapke Blog Pe Guest Post Karna Chata Hu,
ReplyDeleteaap muje mail kar skte ho. Mai publish kar duga. rohitkumarrajpur@gmail.com
ReplyDeleteNice blog . Some articles bahut hi badia hai please mere blog vi thora visit Kate .Our dekhe kya Kami hai usmai?
ReplyDeleteNice Post brother.. Kya me apke Blog pr 1 post likh sakta hu.
ReplyDeleteha aap hmj par guest post likh sakte hai
ReplyDeletemuje alexa ki rank kam karni h
ReplyDeletewww helphindi in
Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...