Ab aate hai apni post par. Aaj mai aapko blog ki security badhane ke kuch tips dunga. Isse aap apne blog ko safe kar skte hai. Isse aap ke blog me koi bhi gadbad nahi kar payega.
Blogger.com par blog banana toh bahut si easy hai. Lekin har blogger successful nahi hota hai. Kuch hi blogger successful hote hai. Wo unki kadi mehnat ka fal hota hai.
Agar aapke blog ki alexa rank 1 lakh se kam ho gayi hai. Toh aapko apne blog ki security bada deni chahiye. Taki koi bhi aapke blog se ched chhad na kare. Agar aapne security nahi badhai hai toh aapki sari mehnat me pani fir skta hai.
Vaise agar dekha jaye toh blogger.com Google ki service hai. Google hamari safty ke liye hamesha kuch na kuch naya karta hai. Leikin log uske tod nikal lete hai. Aur hamare blog se chhed chhad karte hai. Agar hamara popular blog hai toh hame yahi koshis karni chahiye ki ham apne blog ko safe rakhe . Aur ham bade aaram se blpgging karte rahe.
Blog Ki Security Badhane Ke Killer Tips
#1. HTTPs Security Ka Use Kare
Agar apne blog me free blogspot use karte hai. Toh iske liye google ne https security di hai. Isko aapko on kar skte hai. Ye tabhi on hoga jab tak aapne custom domain nahi add kiya hai. Lekin free blogspot walo ke liye https security bohat acchi hai. Https aapke blog ki jankari ko chhipa deta hai. Jisse koi bhi aapka blog hack na kar ske. Https ko on karne ke liye aap setting me jaye. Aur basic par click kare fir https par click kare aur fir jaha par No likha hai. Waha par yes kar de. Https on ho jayegi.
» Also Read → Domain Name Kaise Add Kare Blog Address Me
#2. 2 Dino Baad Apne Blog Ka Backup Le
Aap post likhne me kitni mehnat karte hai. Agar koi bhi aapka blog hack kar le toh aapki sari mehnat barbaad ho jayegi hai. Iske liye aap har 2 din me apne blog ka backup le.
Blogger aapko apne phone ya pc me backup lene ki permission deta hai. Agar aapka blog lock ho gaya ho ya hack ho gaya ho ya fir hacker ne aapmi sari posts delete kar di. Toh new blog me apni posts install kar skte hai.
Backup lene ke liye aap settings par jaye Other par click kare ab Imort And Backup par click kare. Is tarike se aap backup le skte hai. Aur apne blog ki posts ko safe rakh skte hai.
#3. Gmail Password Ko Secure Kare
Blog ko safe rakhne ke liye. Apne gmail pasword ko strong banana chahiye. Gmail ka password only mail ke liye nahi hota hai. Ye bohat si service ke liye hota hai. Jaise AdSense, Adword, YouTube Etc. In sab me ham apne Gmail Account se hi login karte hai. Isliye hame apne Gmail account ke password ko hard rakhna chahiye. Taki koi hamare password ka pta asani se na laga ske.
Gmail password ko strong banane ke liye aap special charecters use jarur kare. Iske sath sath aap password me minimum 15 words rakhe.
#4. Copyright Aur Hacking Ki Post Share Na Kare
Aapko apne blog me copyright content share na kare. Agar aap copyright posts share karoge. Toh Google me na toh aapka blog show hoga aur kuch dino baad Google aapka blog delete kar bhi dega. Ya agar aapne koi aisi post likhi jisse logo ko nuksaan ho tab bhi aapka blog Google delete kar dega. Isliye in sab cheejo se hamesha bachna chahiye. Aap hamesha apne blog me sahi jankari hi de. Galat ya farzi post na likhe. Agar aap paise kamane ki soch rahe tab toh aap in bato ko jarur dhyan de.
» Must Read → Blog Ping : Website(Blog) Ki Traffic Badhane Ka Tarika
#5. Copyright Domain Ka Use Na Kare
Aap apne blog ke liye copyright domain ka use na kare. Jaise ki ye Domain hai www.hindimejane.com is type ki use kr sakte hai.
Toh iske copyright domains is prakar honge :
⊗ Examples -
→ hindimejane.in
→ hindimejane.tk
→ hindimejane.biz
Is tarah ke aap dusro ke domain na khareede. Agar aap copyright domain buy karoge. Toh jiska original domain hai wo kabhi bhi copyright ka claim karke. Aapka blog delete karwa skta hai.
Aapko hamesha aise domain ka use karna chahiye jisse ki dusre blogger ko nuksaan na ho.
Aaj maine aapko 5 tips diye hai. Agar aap in tips ko follow karoge toh aapka blog jarur secure rahega. Agar fir bhi aapko kuch problem ho rahi hai toh comment karke apna sawal puch skte hai.
41 Comments
thanx sir aapne meri post publish ki
ReplyDelete1. bhayi kya ham website ke liye alga gmail or email about us contact us ke liye alag gmail account ka istemal kar skte he jisse ads approve hone me koi prblm to nhi hogi
ReplyDelete2. or adsense apply krne ke liye website wala gmail account hi use karu ya email wala gmail account se apply karu plz prblm solve kijiye..
Welcome
ReplyDelete1. aap contact us aur about us me koi bhi email use kar sakte hai.
ReplyDelete2. Adsense me bhi aap koi bhi gmail id use kr sakte hai lekin mera sugggetion hoga ki jis gmail id se apne blog banaya hai usi id se adsense account banaye.
Hy...Sir Aapke Site Pr Kitna User Aate Hai Aur Aapka Inkam Kya hota Hai pr Mounth ...
ReplyDeleteBhayi 1 jaruri q apke uniq visitor kitne h or aap daily ka kitna earn karte ho jisse me b ads ke liye apply karu..sach batana bhayi
ReplyDeleteacchi post hai.
ReplyDeleteVinay Sir mere blog pcormoney.blogspot.in ko plce visit kare or dekhar bataye ki isme koi kami hai or aapki website ki templet ka kya naam hai or ye free templet hai ya paid
ReplyDeletemeri traffic 3000+ hai aur earning 7$-8$ hai daily.
ReplyDelete3000+ traffic per day aate hai. isi hisab se earning hoti hai.
ReplyDeleteApka blog achha hai. fevicon bhi add kar lijiye. mere template ka name ribbon hai. aur ye free hai.
ReplyDelete1. bhayi side baar me hame kitne add lagane chahiye or kon kon se kis size ke
ReplyDelete2. apne blog post ke title ke niche kon sa add lagaya he or kese or kese lagaya he mughe b lagana he
3. kya add ke code ko ham alag alag place pe use kar skte he ya alg alg place par lagane ke liye hame phir se code generate karna padega. yani phle wala code 1 hi place par lgane ke liye hota he
Aap apna whatsapp number de je sir mera whatsapp n. 8294606087
ReplyDeleteHello vinay singh ji mai aapke blog ka daily readers hu aor mujhe aapka blog accha lagta hai isliye mai aapka blog daily padhta hu .
ReplyDeleteAb jo line mai aapko likh raha hu usko delete mat karna kyu ki iska puraa solution mujhe chahiye commet ke duaara.
Ab mai meri problem batata hu ki aaj jab maine iss post ( blogger security ) wali post ko padha toh mai shock ho gaya kyu ki yeh post total copy ki gayi hai jo ki Mere Blog se ki gayi hai.
Ab aapko ek baat batata hu Yeh Jo guest post karne wale hai naa inko toh sirf apne blog ka promotion karna hota hai isliye yeh kahi se bhi copy karke dusro ke blog par guest post karte hai aor inko iss baat se matlab nahi hota ki hamne jis blog par copyright guest post ki hai uski Rank par kya asar hoga.
Itna batane ke baad aap khud samaj sakte hai aor yaa fir verify kare ki yeh post copy ki gayi hai
Iske liye meri post jarur padhe
http://www.hindinetbook.com/2016/02/blogger-security-tips.html
bhayi aisa nhi hota he ki koi apse q kare or aap uska jawab na do apki site hindime jane he to agar apse koi kuch puchta he to apko ans dena chahite mene apse q kiya tha abi tak apne jawab nhi diya jab 4 din ho chuke he
ReplyDeleteme phir se q kar rha hu- me apne post me title ke niche konsa add lagau or kis size ka jisse addsens block b na ho?
i am a request..
Bahot achi tips hai, aur apki site bhi bahot achi lagi Vinay ji,
ReplyDeleteThanks for sharing
Sir, aap please meri bat gaur se samajhna bahut jyada problem ho gai hai. Sir jabse maine domain liya hai tab se site search me nahi aa rahi hai na hi uski new post search me aa rahi hai jabki maine sitemap vagairah sab add kar diya hai meri site blogspot ke sath to search me aa rahi hai but domain nahi aa rha hai na hi new post. Ab sir aaphi btaiye kya karu. Please sir jawab jarur dena.
ReplyDeleteAap chaho to sir please email par contact kar lena but sir problem solve kar dena antim aas lekar aapse puch raha hu. Sir aap chaho to fb par contact kar lena. 9977671875 mera fb ka number hai. Please......
ReplyDeletebhai aap kaun sa template use karte ho . aur aapki website blog par hai ya wordpress par. please batao
ReplyDeleteAND PLEASE APNE TEMPLATE KA LINK BHI DO
ReplyDeleteMera Blog Wordpress par hai aur abhi me Ribbon theme use kar rha hu.
ReplyDeleteGoogle me Ribbon Theme search kare mil jayegi apko.
ReplyDeleteThanks Sagar ji...
ReplyDeleteभाई मेरा दोस्त मुझे बता रहा था कि blogger पर केवल 15-20 पोस्ट ही डाल सकते हैं |
ReplyDeleteआप प्लीज बताओ कि blogger पर कितने पोस्ट डाल सकते हैं ?
और blogger कितने GB तक host देता है ?
Vinay ji achhi knowledge share ki hai apne. I will try some tricks given by you
ReplyDeletebhai meri http://www.chenakshaeducation.blogspot.com website hai 100 blog ho gaye
ReplyDeletelekin abhi tak google adsence approval nhi hua hai esiliye mai revenuhits use kar
raha hu par utna positive responce nhi mil raha hai to fir mai konsi add website use karu???
Bhai (https) sirf blogspot.com keliye hi he to fir custom domain name me kese lagaye mera bhi blogspot pe hi blog he but custom domain lagaya he Bhai kya aap bata sakte he
ReplyDeletehttps lagane ki suvidha sirf blogspot me available hai...
ReplyDeleteGoogle Adsense ads network me sabse best hai lekin ye itni asani se approval nahi hota. jab tak apka adsense approval nahi hota aap revenuehits hi use kare.
ReplyDeleteThanks Sandeep ji..
ReplyDeleteBlogger hume 5 GB tak free Space deta hai jo aamtor pe Blogging karne ke liye kafi hai. mere hisab se 5000+ articles dal sakte hai.
ReplyDeleteAap mujhe facebook par massage kar sakte hai.
ReplyDeleteApne Search Console me apni Website Verify nahi ki hogi ya Sitemap sahi se Submit nahi kiya hoga is karan ye problem aa rhi hai. So aap Google Search Consol Check kare le
ReplyDeleteSorry Dev ji...Lekin kuch Problems ki vajah se me aaj apne site pe dhyan de paya hu. apka jo bhi Quiestion hoga me uska answer jarur dunga.
ReplyDeleteI'm also socked...lekin ab me kya kar sakta hu. jo ho gya so ho gya ab aage se check jarur karunga ki Post Copyrighted na ho.
ReplyDeleteAap ek page me 3 ads unit laga sakte hai. and Wordpress me to Plugin se Post ke bich me ads display karva sakte hai. but Blogger me apko pahle Ads ko HTML me convert kar ke Template editor me set karna hoga. aap google me search kare apko iske related aricle mil jayegi.
ReplyDeleteAap mujhe Facebook par Contact Kare.
ReplyDeleteBhayi meri Alexa rank 3 lac par h par income bilkul b nhi h aap plz meri site chek kijiye agar kuch prblm yani ads ka size sahi nhi h ya or kuch prblm h plz mughe bataiye Mene badi umeed SE site banayi thi par meri ab ummeed kamjor padti jaa rahi h Mene apni site me mehnat din raat ki h site ko sirf abi 3 months huye h plz ho sake to mughe kuch solution do ..
ReplyDeletenice boht he achi information de aap ne.
ReplyDeletethanks
Bahut sahi ray di aap ne is post ke madhyam se dhanywaad aap ka
ReplyDeleteActually your article is very beautiful and nice
ReplyDeleteApka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...