Youtube se paise kaise kamaye iske jankari ke liye click kare
Hum log Youtube Channel bana kar Video to upload kar dete hai par humare Video par utne Views aur likes nahi aate. Iska karan hai ki hume thik se jankari nahi hoti ki Youtube me Video Upload karne ke bad kya – kya karna chahiye jisse hume jyada se jyada views aur likes mil sake. Isliye aaj main is post me apko Youtube Videos ke Views badhane ke kuch Tips dunga. Jisse aap bhi Youtube se achhe paise kama sake.
Youtube Videos Ke Views Kaise Badhaye –
♦ Video Ka Title Sahi Chune -
Video banane aur Upload karne ke bad aap Video ka Title sahi chune. Kyonki Video ka title bahut mayne rakhta hai kisi bhi Video ke liye. Apka Title aisa hona chahiye jisko padhkar koi bhi samajh jaye ki Video me kya hai.
♦ Description Aur Tag Achhe Se Likhe –
Video Upload karne ke bad Video ka Description aur Tags Achhe se likhe Description aur Tags bhi bahut mayne rakhta hai. Kyonki jaisa aap Description aur Tag karoge us hisab se apki Video Search results me aayegi.
Aap Video ka Description thoda bada aur clear hona chahiye. Aur Tags aisa dale jo apke Video ko suit karta ho.
♦ Youtube Video Ko Social Sites Par Share Kare –
Video Upload karte hi ise Social Site par Share karna na bhule. Kyonki aajkal log Social Sites par hi jyada busy rahte hai. Vo apke Videos ko dekh sakte hai jisse apki Views badhegi. Aap chahe to Email bhi kar sakte hai apne friends ya relatives ko.
♦ Videos Achhe Se Editing Kare –
Video Upload karne se pahle use achhe se Editing kare. Apka Video achha dikhna chahiye. Kyonki aajkal log achhe Quality ke Videos jyada dekhna pasand karte hai. Video Editing ke liye aap Camtasia Software use kar sakte hai.
♦ Apne Youtube Channel Ke Subscribers Badhaye –
Aap apne Youtube Channel ke Subscribers badhane me dhyan de kyonki agar koi apke Channel ko Subscribe karta hai to usko apke naye videos ke Update milte rahenge jisse vo apke Videos ko regular dekhte rahenge.
Subscribers badhane ke liye liye aap Video ke End me Viewers ko Subscribe karne ke liye jarur kahe.
♦ Youtube Videos Ko Apne Blog Me Promote Kare –
Viewers badhane ka achha aur asaan tarika ye bhi hai ki aap apne Videos apne Blog me promote kare. Yani apne Youtube Video ko blog Post me dale. Jisse koi visitor Post ko Padhne ke sarth apke Video bhi dekh sakta hai.
Agar apka Blog nahi hai to yahan click kar ke free me jarur banaye.
♦ Videos Ko Playlist Me Bate –
Agar apke Channel me dher sare Videos hai to unko Playlist me jarur bate jisse Viewers ko asaani ho apke sare Videos dekhne me. Playlist banane se Viewers ko us Video se related sare Videos ek sath ek jagah mil jate hai.
Friends Aasha karta hu ki ye Tips apke liye helpful hoga Youtube Viewers badhane me. Agar apko ye post pasand aai ho to aap ise share karna na bhule. Aur humare Youtube Channel ko bhi Subscribe kare…Dhanywad !
22 Comments
Bhyi aap ye image kese banate kis soft se.
ReplyDeletePlz fast reply
Kon se image ki bat kar rahe ho aap ?? agar screenshote wale ke bare puch rahe hai to iske liye me picpick software use karta hu..
ReplyDeletejo aap har post me dalte he aerro banake
ReplyDeleteVo Me PicPick Software Se Karta Hu...
ReplyDeleteAap picture editting Kis software se karte hain. Aur apne logo kaise banaya hai. Karaokekart
ReplyDeletePicture editing ke liye me picpick use karta hu..aur Logo maine GraphicSprings se banaya hai.
ReplyDeletenice site.... aap ye video kis software se banaye ho
ReplyDeletesir mujhe ye bataye ki kya koi Asia mobile app h jiske duara Ham vedio main naam adi daal skate h
ReplyDeleteApp to nahi hai lekin PC me software hai camtasia iski madat se aap video ko apne hisab se editing kar sakte hai.
ReplyDeleteMe Video Camtasia se banata hu..
ReplyDeleteFor sign up.. Now.. And earn money in dollars BHAI LOG apko main ek kaam ke bare bol raha hn
ReplyDeleteIs main jaida time dene ka bhi jarurat nhi magar ap
Is company se ap dollars main paise kama skte hai..
Jis ko bhi karna hai ap is
Ko sign up karke apna.. Members ship banaye Tabhi Apki kamayi hogi..
http://TheReferProject.com/index.php?ref=183529
Ye sab fake sites hai jara bach kar hi rahiyega...
ReplyDeleteSir mera youtube video per ads show nhi kr rha h jo ki mai monetize kr liya h
ReplyDeleteApne sayad Youtube ko Adsense se nahi joda hai isliye ads sow nahi ho rhe hai.
ReplyDeletebhai youtube par ads code paste kasy karty hain ?
ReplyDeleteYoutube me ads paste nahi karna padta ye automatic sow karne lag jata hai jab aap youtube channel ko monetize kar ke adsense se jodte hai.
ReplyDeletesir mujhe ye janna he ki apne youtube ka url kese kare jisse apne dosko url shara kar saku please riply me
ReplyDeletebhai koi free video editer btao jo video me aapna add na karta hoo
ReplyDeleteAbhi Aisa Nahi Ho Sakta Hai, But Free Me Koi Bhi Company Apna Name Add Karti Hi Hai,Aap Paisa Dekar Purches Karte Hai To Aap Ko Company Ka Name Nahi Aayenga
ReplyDeletehttps://m.youtube.com/my_videos
ReplyDeleteBhai ye mere YouTube channel ka link hai
Mujhe utna response nahi mil raha hai.
Views nahi aa rahe hai.....
Mai kya karu....?
Aap zara check karke batao mujhe
Kya kami hai...?
Sar youtube par channel kaise banaye please help me...sar aap miscall karna call mai khud karlunga bas aap meri help kare ..contact. 8882929973 ple....
ReplyDeletebahi mera name aslam he mene ak chhenal bnaai he use serch me lane ke liye kya
ReplyDeletekru tagss ka dalle kya aap mujhe bta sakte ho
Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...