Ad Code

Responsive Advertisement

Android Pre-Loaded App Kaise Uninstall Kare - Tips in Hindi



Hello Dosto jab aap naya Android Smart Phone kharidte hai to uske sath apko bahut se Pre-loaded App bhi milte hai. Lekin un app me se jyadatar app humare kam ke nahi hote hai aur hum ise Uninstall karna chahte hai, par hum aisa kar nahi pate hai. Isliye aaj main apko aisa tarika bataunga jisse aap apne Unwanted apps ko Uninstall/Delete kar sakte hai.
Android, Pre-Loaded, App, Uninstall, kaise, kare

Android Pre-Loaded App Uninstall Kaise Kare :~


Pre-loaded app ko Uninstall karne ke liye sabse pahle apko Apps ko Root karna padega. Root karne ke liye apke pass PC ya Laptop hona jaruri hai..

Step 1. Sabse pahle apko apne PC ya Laptop me Kingo Root Software Install karna padega. Software Download karne ke liye yahan click kare -  Download Kingo ROOT 

Step 2. Jab Software Install ho jaye to apne phone ko USB cable ke dwara PC se connect kare. Aur Settings >> Developer Option par click kare. fir upar On kare aur USB debugging par click kare.
Agar apke Phone me Developer ka Option nahi aa rha hai to Settings >> About Phone >> Build Number pe 7 bar click kare. uske bad Developer ka Option visible ho jayega.
Android, Pre-Loaded, App, Uninstall, kaise, kare

Step 3. Phone ko connect karne ke bad Root par click kare. fir Rooting Proccess Start hoga jab ye 100% ho jayega to Root Successed likh ke aayega.
Android, Pre-Loaded, App, Uninstall, kaise, kare

Ye Post Bhi Padhiye :~

Step 4. Ab apko apne Phone me Kingo SuperUser App Install karna hai. App Download karne ke liye yahan click kare -  Download Kingo SuperUser 

Step 5. Ab Kingo SuperUser App ki madat se Pre-loaded ko Uninstall kar de...Enjoy !
Note : - Is Trick ko karte waqt agar koi bhi Data Delete hoti hai to uske jimmevar sirf aap honge.

Apko ye jankari kaisi lagi hume comments kar ke jarur bataye. humare Facebook Fun Page ko like aur Email par Subscribe kare.

Reactions

Post a Comment

26 Comments

  1. helo vinay
    really nice information for me....aapki or bhi post padhi hai mene mukhe kaafi madad mili unse aise hi jaankari dete rahiye thanks,...........and visit-www.studyinhindi.com

    ReplyDelete
  2. micromax a92 ko root kiya to koi bhi mere screen par application so nahi kar raha hai isake bare me jankari kaise hoga

    ReplyDelete
  3. Aap ne kaise root kiya tha PC ya App se...
    Kahi apne apne Phones ke Application Delet to nahi kr diye pahle check kr le...

    ReplyDelete
  4. bhai lg e400 main root hoga plz mujhe bato main new hu

    ReplyDelete
  5. Haa ho jayega aap try to kare...

    ReplyDelete
  6. Bhai mere phone mey google play service missing hai or Google play store open nahi ho raha hai to Google play service ko dubara phone mey kesey install koro plz help mey bro

    ReplyDelete
  7. Aap kisi aur phone se Google Play download kar ke dal sakte hai.

    ReplyDelete
  8. intex eua a1me root ho jayega4.4.2hai

    ReplyDelete
  9. Bhai mera phone root nhi ho raha h.plz.help karo modal No.samsung j110ace kingroot.kingoroot se bhi try kiya h firbhi nhi ho raha h.

    ReplyDelete
  10. maine apne phone jo ki samsung GT-7582 hai usko root kiya ab mai usko pahle ki tarah karna chahta hu matlb unroot ya root ko uninstall karna chahta hu jo nhi ho rha plzz meri help kre...

    ReplyDelete
  11. mera phone rooted hai ya nahi me kaise check kar sakta huuu

    ReplyDelete
  12. Sir mene apne mobile k system k apps uninstall kiye uske baad mere mobile me koi apps open nhi ho rha tha. Fir mene mobile ko switch off kiya lekin mobile abhi tak on nhi hua sir btao me kya kru

    ReplyDelete
  13. Root checker apps download kr k chek kr sakte ho

    ReplyDelete
  14. yes aap cheak kar sakte ho

    ReplyDelete
  15. Are Bhai please mujhe ye batao year king root KK vajah se ek kam ka system ka app delete ho gaya hair parmanently to ab use kaise bapasa laya ja skta hai aur agar phone ka software update karata hu to kya sab kuch bapas sahi ho jayega kya please reply me soon my email I'd is kveer6103@gmail.com and mobile number +918952898762

    ReplyDelete
  16. Comment Text*Bhai mera mobile me rooted karne ke baad galti se pre installed app "internet "uninstalls ho gaya h kaise recover kare (samsung galaxy gt s7562) mobile h

    ReplyDelete
  17. Comment Text*software update nahi hota

    ReplyDelete
  18. cm launcher ko kaise unistaal kre

    ReplyDelete
  19. mere phone pe kuchh app h jo unistall nhi hote h. jinhe mai unistall karna chahta hu. meri help kijiye.

    ReplyDelete
  20. shailendra mobile ko format kar do ho jayenge

    ReplyDelete
  21. bhai format karne se koi data delet to nhi hoga.

    ReplyDelete
  22. Bhai g root yaani super user se phone yani khud ke apps delete ho gaye system vapis kaise laye plz Bhai batao

    ReplyDelete
  23. mere mobile me location services likh raha hai k

    ReplyDelete
  24. mere phn m se gallery disable ho gyi h use enable kaise karu?

    ReplyDelete
  25. Jb main uc browser chlata hu to usme.apne ap hi kuch application show hone lgti ....website ..open ho jati h...new apps show hone lagte h ...plz help me

    ReplyDelete

Apka comment humare moderation ke bad dikhai dega. Isliye comment karne ke bad pritksha kare. bar-bar ek hi comment na kare...